Presenting you the Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad MP3 Download in the beautiful voice of Owais Raza Qadri. Play online or download Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Qawwali in MP3 (Audio) for free. On this page you will also get Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Qawwali Lyrics In Urdu And Hindi.

Owais Raza Qadri's Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad is one of the best audio Qawwali, which you can download at 320kbps by clicking the download button.

Download Now

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Qawwali Lyrics

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Qawwali MP3 Download

Shah-E-Madeena Suno Ilteja Khuda Ke Liye

Karam Ho Mujh Pe Habeeb-E-Khuda Khuda Ke Liye

Huzoor Ghuncha-E-Ummeed Ab To Khil Jaaye

Tumhaare Dar Ka Gadaa Hoon To Bheek Mil Jaaye

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lautkar Main Na Jaaunga Khaali

Tumhaare Aastaane Se Zamaana Kya Nahin Paata

Koi Bhi Dar Se Khaali Maangne Waala Nahin Jaata

Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena

Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena

Tum Zamaane Ke Mukhtaar Ho Ya Nabi

Bekason Ke Madadgaar Ho Ya Nabi

Sab Ki Sunte Ho Apne Ho Ya Ghair Ho

Tum Ghareebon Ke Gham-Khwaar Ho Nabi

Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena

Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena

Hum Hain Ranj-O-Museebat Ke Maare Hue

Saqt Mushkil Mein Hain Gham Se Haare Hue

Ya Nabi Kuchh Khudaara Humein Bheek Do

Dar Pe Aaye Hain Jholi Pasaare Hue

Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena

Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena

Hai Mukhaalif Zamaana Kidhar Jaaein Hum

Haalat-E-Bekasi Kisko Dikhlaaye Hum

Hum Tumhaare Bhikaari Hain Ya Mustafa

Kiske Aage Bhalaa Haath Phailaayein Hum

Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena

Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lautkar Main Na Jaaunga Khaali

Kuchh Nawaason Ka Sadqa Ataa Ho

Dar Pe Aaya Hoon Bankar Sawaali

Haq Se Paayi Wo Shaan-E-Kareemi

Marhaba Dono Aalam Ke Waali

Uski Qismat Ka Chamka Sitaara

Jis Pe Nazr-E-Karam Tum Ne Daali

Zindagi Bakhsh Ki Bandagi Ko

Aabroo Deen-E-Haq Ki Bachaali

Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa

Jisne Sajde Mein Gardan Kataali

Jo Ibn-E-Murtaza Ne Kiya Kaam Khoob Hai

Qurbaani-E-Hussain Ka Anjaam Khoob Hai

Khurbaan Ho Ke Fatema Zehra Ke Chain Ne

Deen-E-Khuda Ki Shaan Badhaayi Hussain Ne

Bakhshi Hai Jisne Mazhab-E-Islam Ko Hayaat

Jitni Azeem Hazrat-E-Shabbir Ki Hai Zaat

Maidaan-E-Karbala Mein Shah-E-Khush Khisaal Ne

Sajde Mein Sar Kataa Ke Mohammad Ke Laal Ne

Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko

Aabroo Deen-E-Haq Ki Bachaali

Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa

Jisne Sajde Mein Gardan Kataali

Hashr Mein Unko Dekhenge Jis Dam

Ummati Ye Kahengey Khushi Se

Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad

Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali

Mehshar Ke Roz Pesh-E-Khuda Hongey Jis Ghadi

Hogi Gunahgaaron Mein Kis Darjaa Bekali

Aate Hue Nabi Ko Jo Dekhenge Ummati

Ek Doosre Se Sab Ye Kahengey Khushi Khushi

Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad

Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali

Sar-E-Mehshar Gunahgaaron Se Purzish Jis Ghadi Hogi

Yaqeenan Har Bashar Ko Apni Bakhshish Ki Parhi Hogi

Sabhi Ko Aas Us Din Kambli Waale Se Lagi Hogi

Ke Aise Mein Mohammad Ki Sawaari Aa Rahi Hogi

Pukaarega Zamaana Us Ghadi Dukh Dard Ke Maaron

Na Ghabraao Gunahgaaron Na Ghabraao Gunahgaaron

Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad

Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali

Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha

Sachaa Ye Waaqiya Hai Azaan-E-Bilaal Ka

Ek Din Rasool-E-Paak Se Logon Ne Yun Kahaa

Ya Mustafa Azaan Ghalat Dete Hain Bilaal

Kahiye Huzoor Aapka Is Mein Hai Kya Khayaal

Farmaaya Mustafa Ne Ye Sach Hai To Dekhiye

Waqt-E-Sahar Ki Aaj Azaan Aur Koi De

Hazrat Bilaal Ne Jo Azaan-E-Sahar Na Di

Khudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sahar Hui

Aaye Nabi Ke Paas Kuchh As'haab-E-Baasabaa

Ki Arz Mustafa Se Ay Shah-E-Ambiya

Hai Kya Sabab Sahar Na Hui Aaj Mustafa

Jibreel Laaye Aise Mein Payghaam-E-Kibriya

Pehle To Mustafa Ko Adab Se Kiya Salaam

Baad As Salaam Unko Khuda Ka Diya Payaam

Yun Jibraeel Ne Kahaa Khair Ul Anaam Se

Allah Ko Hai Pyar Tumhaare Ghulaam Se

Farmaa Raha Hai Aap Se Ye Rabb-E-Zuljalaal

Hogi Na Subha Dengey Na Jab Tak Azaan Bilaal

Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha

Arsh Waale Bhi Sunte Thhey Jisko

Kya Azaan Thi Azaan-E-Bilaali

Kaash Purnam Se Aaye Nabi Mein

Jeete Ji Ho Bulaawa Kisi Din

Haal-E-Gham Mustafa Ko Sunaaoon

Thhaam Kar Unke Rauze Ki Jaali

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lautkar Main Na Jaaunga Khaali

About Owais Raza Qadri

Owais Raza Qadri Mp3 Naats - Listen online or download a huge Collection Of Owais Raza Qadri Mp3 Naats free from our site. We provide you Owais Raza Qadri All Naat And Albums which you get for free.

Owais Raza Qadri Naat Mp3 Download

On this page, you will find Owais Raza Qadri All Naats Audio. Owais Raza Qadri ki naat has a huge fan following in Asia. Owais Raza Qadri Mp3 Naats

Owais Raza Qadri Naat And Album List

  1. Aa Gaye Mujdah Shafaat Ka Sunanay Walay
  2. Aa Kuch Suna De Ishq Ke Bolon Mein Aey Raza
  3. Aai Aqa Madni Aqa
  4. Aaj Aaye Nabiyon Ke Sardar
  5. Aap Ki Nisba
  6. Aarizey Shams O Qamar
  7. Aasio Ko Dur Tumhara Mil Gay
  8. Aasmaan Gar Terey Talwoonka
  9. Aaya Hai Bulawa Mujhay Darbar-E-Nabi Say
  10. Aaye Aaqa Madni Aaqa
  11. Ab Meri Nighaon Mein
  12. Abtar Thee Fiza
  13. Ahl-E-Sirat-E-Rooh-Ul-Ameen
  14. Aisa Tujhay Khaliq
  15. Aj Sik Mitran Di Wadheri Ae
  16. Ajab Karam Shahe-Wala
  17. Aleef Allah Chumbay Dee Booti
  18. Allah Allah
  19. Allah Allah Shah-E-Konain
  20. Allah Da Naam Layye
  21. Allah Hoo Allah Hoo Allah
  22. Allah Hu Dum Ba Dum Allah Hu
  23. Allah Humma Sallay Ala
  24. Allah Nabi Da Naam
  25. Allah Rabb-E-Mohammad
  26. Allaho Rabbo Mohammadin
  27. Allahu Allahu
  28. Allahu Dam Badam Allahu
  29. An Nabi Sallo Alayeh
  30. Apna Ghum Ya Shah-E-Anmbiya
  31. Arsh-E-Haq Hai Masnad-E-Riffat Rasool
  32. Arzo Sama Banay Hain
  33. As Subhu Bada Min Talatihee
  34. Aye Shafe Umame Shahe

Owais Raza Qadri Biography

Alhaj Muhammad Owais Raza Qadri was born on 8th July, 1970 in Pakistan. He is Intermediate in academic qualifications. He has performed several Hajj and Umrah, the first Umra being in 1992 while the first Hajj in 1996. Apart from Holy Places, Pakistan is Owais Qadri's favourite country. Children: Mohammad Anees Raza, Mohammad Afeef Raza Born: 8th July 1970, Pakistan

Owais raza Qadri Mp3 Naats

Mohammad Owais Raza Qadri needs no introduction as he is known to be the king of today’s naat khawani. Owais Raza Qadri is also called as Bulbul e Madina for his passionate and heart-touching voice. He gave Naat-Khawani a whole new dimension and the way he recited many old Naats has increased its popularity of Naats a lot. He was born in the year 1969 at Metha Dar Karachi.. He started recitation of naats in 1977 while he was just an 8-year kid. Owais Raza Qadri possesses a unique style of saying naats. According to him if one truly appreciate and applause the life of Holy prophet Mohammed SAW then he can show it by any mean. Owais’s mean of showing gratitude is by reciting naats for love of Mohammad SAW. He also aspires to establish an academy for new naat khawani , so that they can learn how to praise great personalities like Hazrat Mohammad SAW. Owais has performed Hajj and umrah many times. He has also visited a lot many countries to preach about Islam and to recite the naats. Where ever he goes he spread the message of peace, love and harmony. He advises the young generation to follow the teaching of Hazrat Mohammad SAW in their day-to-day life. He has been awarded with the best naat khawan in the year 1997 by the government of Pakistan.