Ae Sabz Gumbad Wale MP3 Download
Ae Sabz Gumbad Wale MP3 Naat By Owais Raza Qadri.
Listen online or download this beautiful Naat sharif in the beautiful voice of Owais Raza Qadri.
Ay Sabz Gumbad Wale is a Naat recited by Owais Raza Qadri. Listen this Naat online or download in MP3 format from thenaatsharif.com
Owais Raza Qadri Ae Sabz Gumbad Wale is one of the best MP3 Naat.
Ae Sabz Gumbad Wale naat MP3 Download
To Download Ae Sabz Gumbad Wale in 320kbps, please click on the below image.
Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics
Ae Sabz Gumbad Wale Manzoor Dua Karna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna
Ae Noor E Khuda Aakar Ankhoon Mein Sama Jana
Ya Dar Pe Bula Lena Ya Khawab Main Aa Jana
Ae Parda Nasheen Dil Ke Parde Mein Raha Kerna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Aata Karna
Aie Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna
Main Qabr Andheri Mein Ghabraoon Ga Jab Tanha
Imdaad Meri Karnay Aajana Meray Aaqa
Roshan Meri Turbath Ko Aie Noor E Khuda Kerna
Jab Waqt E Nazah Aaye Deedar Ataa Karna
Ae Sabz Gumbad Wale Manzoor Dua Karna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna
Mujrim Hoon Jahaan Bhar Ka Mehshar Mein Bharam Rakhna
Rusva E Zamana Houn Daman Mein Chupa Lena
Maqbool Yeh Aarz Meri Lillah Zara Kerna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna
Aie Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna
Chehre Se Ziya Payee In Chand Sitaaron Nay
Us Dar Say Shifa Paaye Dukh Dard Kay Maaron Ne
Aataa Hai Unhein Sabir Har Dukh Ki Dawa Karna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna
Ae Sabz Gumbad Wale Manzoor Dua Karna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna
Mehboob Ilaahi Sa Koyi Na Haseen Dekha
Ye Shaan Hi Inki Ke Saaya Bhi Nahin Dekha
Allah Nay Saaye Ko Chaha Na Judah Karna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna
Ae Sabz Gumbad Wale Manzoor Dua Karna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna
Popular Tags
- Ay Sabz Gumbad Wale Mp3 Download
- Download Ae Sabz Gumbad Waly in Mp3
- Owais Raza Qadri Mp3 Naats