Maikada 3 (Bus Ik Nigah) MP3 Download
TheNaatSharif.com brings to you "Maikada 3 (Bus Ik Nigah) Audio" by artist Muhammad Samie. To Download Maikada 3 (Bus Ik Nigah) in MP3, simply click the three vertical dots on the mp3 player and then download.
With TheNaatSharif.com, you will not only enjoy your favorite MP3 Naats, but you will also have access to our best playlists such as Rabi ul Awal Naats, Punjabi Naats, Qawwalies, Nasheeds, Nohay and Manqabats.
Maikada 3 (Bus Ik Nigah) Lyrics
Wo khayal mein hue ru-ba-ru kiya pesh dil to wo keh gaye
Wohi dil yahan pe qubool hai jo aseer-e-ishq-e-imam hai (Samie)
Ye hai maikada yahan rind hain yahan sab ka saqi imam hai
Ye haram nahin hai ai sheikh ji yahan parsaai haram hai (jigar)
Tera jaam jaam-e-hayat hai tera zikr zikr-e-dawaam hai
Jo samajh gaya tujhe saqiya usay sidq-e-dil se salam hai (Samie)
Koi pee ke rah se bhatak gaya koi pee ke raah ko paa gaya
Jo sabhi ka zarf ayaan kare ye teri sharab ka kaam hai (Samie)
Mera rind-e-nau ko payam hai ke gurez-e-shaikh-e-haram karen
Ye haram hai wo haram hai ye to un ka takiya kalam hai (Samie)
Na taloon ga saqiya jaam se yahi meri arz-e-tamam hai
Main talash-e-raaz mein hun mujhe to teri nigah se kaam hai (Samie)
Bus ik nigah .. Bus ik nigah
Teri ik nigah ki baat hai, meri zindagi ka sawal hai (Majrooh)
Hazar jaam tasadduq hazar maikhane
Nigah-e-yaar ki lazzat sharab kya jane
Saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand
Mujh ko teri nigah ka ilzam chahiye (Adam)
Saqi zara nigaah mila kar to dekhna
Kambakht hosh mein to nahi aa gaya hun mein (Adam)
Shikan na daal jabeen par sharab dete hue
Ye muskurati hui cheez muskura ke pila
Suroor cheez ki miqdaar par nahin mauqoof
Sharab kam hai to saqi nazar mila ke pila (Adam)
Dil se teri nigah jigar tak utar gayi
Dono ko ik ada mein raza-mand kar gayi (Ghalib)
Jo dil ko de gai ik dard umr-bhar ke liye
Tadap raha hun abhi tak main us nazar ke liye
Ilaj ki nahin haajat dil-o-jigar ke liye
Bus ik nazar teri kafi hai umr bhar ke liye (Munawwar)
Khada hun dair se main arz-e-mudda’a ke liye
Idhar bhi aik nazar kijiye ḳhuda ke liye
Ujad de mere dil ki duniya mere sukoon ko tabah kar de
Magar yahi iltija hai tujh se meri taraf ik nigah kar de (Bedam)
Arz-o-sama ko saghar-o-paimana kar diya
Rindon ne kainat ko maikhana kar diya
Qurbaan tere ke ik nigah-e-iltifaat ne
Dil ki jhijak ko jurat-e-rindana kar diya (Josh)
Nigah hi se mujhe kuch pila ke chhod diya
Khudi ke putle ko be-khud bana ke chhod diya
Na uth sake ga qayamat talak khuda ki qasam
Ke jis ko tu ne nazar se gira ke chhod diya (Azam)
Halaak-e-tegh-e-jafa ya shaheed-e-naaz kare
Tera karam hai jise jaise sarfaraz kare (Bedam)
Nigah-e-yar jise ashna-e-raaz kare
Wo apni khoobi-e-qismat pe kyun na naaz kare (Hasrat)
Koi ye pooche ke vaaez ka kya bigadta hai
Jo be-amal pe bhi rehmat wo be-niyaz kare (Iqbal)
Ghuroor-e-zohd ne sikhla diya hai vaaez ko
Ke bandagan-e-Khuda par zaban daraz kare (Iqbal)
Bitha ke arsh pe rakha hai tu ne ai vaaiz
Khuda wo kya hai jo bandon se ehtiraz kare (Iqbal)
Khuda ne ilm diya hai to phir nigah bhi maang
Mehz ye ilm haqiqat ko bhi majaaz kare (Samie)
Gham se ghabra ke qayamat ka talabgaar na ban
Itna mayoos-e-karam ai dil-e-beemar na ban
Khwahish-e-deed hai to taab-e-nazar paida kar
Varna behtar hai yahi taalib-e-deedar na ban
Mere saqi ki nigah mujh pe bhi parh jaye gi
Na-umeedi tu meri raah ki deevar na ban (Kashfi)
Mera darmaan hai na ka’abe mein na but-khane mein
Rind hoon mujh ko pada rehne do maikhane mein
Mujh ko samjhi hai na samjhegi majaazi duniya
Hai haqiqat hi haqiqat mire afsane mein
In ke kahne pe isay torh doon kyun-kar aakhir
Ilm jin ko nahin kya hai mire paimane mein (Kashfi)
Mein chahta hun aaj naya ehtamam ho
Yaseen ki sharab ho, tawha ka jaam ho
Phoote sahar dilon mein to aankhon mein sham ho
Har rind ke labon pe khuda ka kalam ho (Mohsin)
Aisi pila jo fikr ki mash’al ujaal de
Duniya ki khwahishat ko dil se nikal de (Samie)
Saghar utha keh chayi ghata jhoom jhoom kar
Aayi hawa najaf ke dareechon ko choom kar
Saqi hareem-e-dil mein munawwar nujoom kar
Rindon ko waqif-e-dar-e-baab-e-uloom kar
Hum ko pila wohi jo wila ki sharab ho
Kam-zarf bada-khwar ka khana kharab ho (Mohsin)
Wo mai pila ke jis mein Nabuwat ki bu mile
Jis ke nashe mein husn-e-Imamat ki khu mile
Adam ko jis se khoyi hui aabru mile
Mein bhi piyun to mujh ko Khuda ru-ba-ru mile
Wo mai ke jis mein subh-e-azal ka surur ho
Wo mai ke jis mein Aal-e-Muhammad ka noor ho (Mohsin)
Dil to ye hai ke sab ko pilaun magar nahin
Har aadmi ke zarf main itna hunar nahi
Do chaar jaam se mujhe hoga asar nahi
Choda milen zuroof to phir koi dar nahi
Wo hosla diya mujhe hubb-e-Imam ne
Peeta hun jaam-e-Haideri duniya ke samne
Ye hai Bu-Turab ka maikada yahan peene aate hain awliya
Yahan saqi Hassan-o-Hussain hain ye faqeer un ka ghulam hai
Disclaimer
This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.
As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.