Noha Title | Shabbir Tera Matam |
---|---|
Noha Artist | Mesum Abbas |
Click Here To Download Shabbir Tera Matam Lyrics |
Jalti Huyi Reti Par, Sadaat Khule Sar Hain
Aur Nauha Kuna Aalam – 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
Naizo’n Ka Ghana Jungle, Aur Raat Ka Sannata
Pehre Pe Nabizadi, Karti Hai Yahi Nauha
Lachaar Huye Ab Hum – 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
Hayee….
Beto’n Ko Nahi Roti, Ghumkhwar Teri Khwahar
GHAZI Ko Bulati Hai, Ek Hath Rakhe Dil Par
Bechain O Dilafgaaram-2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
Ab Lootne Aate Hain, Sadaat Ko Ye Zalim
Kis Darja Rulate Hain, Sadaat Ko Ye Zalim
Ab Jayein Kaha’n Purghum-2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
Hayee….
Haq Teri Muhabbat Ka, Kulsoom Ada Karti
Aulad Agar Hoti, To Tujh Pe Fida Karti
Karti Hai Bapa Paiham – 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
Baba Hain Kahan Mere, Hain Bain SAKINA Ke
Mar Jaungi Ro Ro Ke, Bin SHAH E MADINA Ke
Kya Isko Batayein Hum – 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
Be Parda Behan Teri, Bazaar Mein Jayegi
Amma Ki Tarha ZAINAB, Darbar Mein Jayegi
Kya Is Se Bara Hai Ghum – 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
Humsheer Rasan Basta, Jab Qaid Mein Jayegi
Zinda Mein Tera Matam, Ek Roz Karayegi
Be Monis O Be Yaram-2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
Hayee….
Jee Bhar Ke Kiya Matam, ABBAS E DILAWAR Ka
QASIM, ALI ASGHAR Ka, HUMSHAKL E PAYAMBAR Ka
Ta Hashr Karenge Hum-2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
Ye Mazhar O Mesum Ki Din Raat AZADARI
Manzoor Karain ZEHRA Ye Nauho’n Ki Tayyari
Ek Pal Bhi Nahi Ho Kam – 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM
YA HUSSAIN (as)
Shabbir Tera Matam Lyrics
Shabbir Tera Matam is one of the best Noha by Mesum Abbas.
You can listen this Noha online or download in MP3 from this site.
You can also read or download the lyrics of Shabbir Tera Matam
Read or download lyrics of Shabbir Tera Matam in roman urdu, urdu and english.
Disclaimer
This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.
As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.