Noha Title Paani Nahi Chahiye
Noha Artist Mesum Abbas
Click Here To Download Paani Nahi Chahiye Lyrics

Paani Nahi Chahiye Lyrics

Dhal Gaya Din Vo Takti Rahi Raasta

Haath Se Damane Sabr Jaata Raha

Rukh Kiya Su E Darya Ye Rokar Kaha

Haye Rokar Kaha

Chacha Jaan Paani Nahi Chahye

Meri Pyaas Tu Tum Se Bhadh Kar Nahi

Main Mar Jaaungi Mera Karlo Yaqeen

Mujhe Raas Aayi Na Yeh Sar Zameen

Khuda Ra Na Ab Aur Tarpaaye

Chacha Jaan Paani Nahi Chahye

Nahin Jaane Woh Kaisi Ghadi Aayi Thi

Pidar Se Ijazat Jo Dilvayi Thi

Main Khud Apni Gurbat Se Ghabraayi Thi

Khata Dar Guzar Meri Farmayiye

Chacha Jaan Paani Nahi Chahye

Chacha Yeh Sakina Ka Wada Raha

Ke Ab Al-ataash Ki Na Dongi Sada

Bina Aap Ke Hai Yeh Jeena Saza

Jeeyon Kaise Itna To Batalaiye

Chacha Jaan Paani Nahi Chahye

Sakina Pe Jaan Dene Wale Chacha

Kya Mujhko Kis Ke Hawale Chacha

Bhula Dongi Honton Ke Chhale Chacha

Mujhe Aa Ke Sine Se Lapataiye

Chacha Jaan Paani Nahi Chahye

Khabar Aap Ke Qatl Ki Yun Mili

Mere Baba Jaan Ki Kamar Jhuki

Rida Phank Ke Ro Rahi Hain Phuphi

Yeh Manzar Dekhnay Aaye

Chacha Jaan Paani Nahi Chahye

Chidi Mashk Meri Koi Gham Nahi

Meri Aas Tuti Koi Gham Nahi

Main Pyaasi Rahungi Koi Gham Nahi

Dawa Mere Zakhmon Ki Ban Jaiye

Chacha Jaan Paani Nahi Chahye

Yeh Mazhar, Yeh Mesum, Yeh Ahl-e-Aza

Yehi Keh Ke Kartay Hain Matam Bapa

Yeh Jumla Sakina Hai Marsiya

Bas Ab Aap Darya Se Aa Jaiye

Chacha Jaan Paani Nahi Chahye


Paani Nahi Chahiye Lyrics

Paani Nahi Chahiye is one of the best Noha by Mesum Abbas.

You can listen this Noha online or download in MP3 from this site.

You can also read or download the lyrics of Paani Nahi Chahiye

Read or download lyrics of Paani Nahi Chahiye in roman urdu, urdu and english.

Popular Tags

  • Paani Nahi Chahiye Lyrics
  • Lyrics of Paani Nahi Chahiye
  • Paani Nahi Chahiye Lyrics Download
  • Download Lyrics of Paani Nahi Chahiye
  • Paani Nahi Chahiye Lyrics By Mesum Abbas

Disclaimer

This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.

As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.