Noha Title 72 Taboot
Noha Artist Mesum Abbas
Click Here To Download 72 Taboot Lyrics

72 Taboot Lyrics

Shaheedo’n Ke Hain Ye Janaze
Ghareebo’n Ke Hain Ye Janaze
Azadaro’n Aao Mil Kar Uthao
72 Ke Taboot HainTum Aashoor Ka Din Tasawwur Mein Laao
72 Ke Taboot HainAzadaro’n Aao Mil Kar Uthao
72 Ke Taboot Hain

1) 72 Ka Ek Din Mein Farzand E Zehra
Janaze Utha Kar Akele Hi Laya
Bari Bebasi Se Har Ek Simt Dekha
Nahi Tha Koi Bhi Madad Karne Wala
Tum Aashoor Ka Din Tasawwur Mein Laao

2) Hua Jinka Maqtal Mein Pamaal Laasha
Kahi’n Par Badan The Kahi’n Unka Sar Tha
Wo Jinko Kafan Bhi Mayassar Na Aya
Nahi Tha Janazo Pe Un Sab Ke Saya
Rakho Phool In Par Kafan Tum Urhao

3) Burair O Zuhair Aur Hur, Wahab E Qalbi
Hain Jaun Aur Aabis Ke Jaise Sipahi
Saeed Aur Shozab, Habib E Hussaini
Wo Asghar Hon Qasim Hon Akbar Ya Ghazi
Hum Inke Hain Waris Jahan Ko Batao

4) Hain Inme Sabhi Syeda Ke Dulare
Jinhe Bawafa Bhai Keh Kar Pukare
Sabhi The Hussain Ibne Haidar Ke Pyare
Alam Ke Hi Saye Mein Rehte The Sare
Tum Un Par Alam Ka Pharehra Bichhao

5) Ek Aisa Ho Taboot Jis Par Ho Sehra
Uthe Ek Taboot Gathri Ke Jaisa
Ho Taboot Ke Sath Nan’nha Sa Jhoola
Magar Hai Jo Taboot Rab E Wafa Ka
Sakina Ka Mashkiza Us Par Sajaao

6) Ab Is Silsile Ko Hai Aage Barhana
Jab Aao To Bachcho’n Ko Humraah Lana
Unhe Ye Adab Aur Saliqa Sikhana
Wirasat Ye Naslo’n Ko Tum Saunp Jana
Jo Zehra Se Wada Kia Wo Nibhao

7) Ye Azlan O Mesum Jahan Ko Batana
Shah E Dee’n Ko In Sab Ne Tanha Na Chhora
Hum Inko Bhi Hone Nahi Denge Tanha
Duaein Hamain Dengi Khud Bibi Zehra
Dilo’n Ki Muradain Yahan Aake Paao

72 Ke Taboot Hain

Azadaro’n Aao Mil Kar Uthao
72 Ke Taboot Hain


72 Taboot Noha Lyrics

72 Taboot is one of the best Noha by Mesum Abbas.

You can listen to this Noha online or download MP3 from this site.

Read or download Mesum Abbas 72 Taboot Noha Lyrics in Roman Urdu, Urdu, and English.

Popular Tags

  • 72 Taboot Urdu Lyrics
  • Lyrics of 72 Taboot

Disclaimer

This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.

As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.