Noha Title | Ay Karbala Ke Haider |
---|---|
Noha Artist | Farhan Ali Waris |
Click Here To Download Ay Karbala Ke Haider Lyrics |
Karbobala Ke Haider Aaqa Madad Ko Aao
Aye Shaah Ke Baraadar Aaqa Madad Ko Aao
Toofaa Mey Hai Safeena Aye Aashiq E Sakina
Jaldi Bachaalo Aakar Aaqa Madad Ko Aao
Dunya Bhulaa Rahii Hai Qurbaani E Shah E Dee
Aye Aashinaa E Sarwar Aaqa Madad Ko Aao
Lelekey Pyaasey Koozey Pyaasey Khadey Huwey Hai
Kardo Ataa Samandar Aaqa Madad Ko Aao
Ye Qoob Jaantii Hai Baazu Nahi Hai Phir Bhi
Dunya Khadii Hai Darr Par Aaqa Madad Ko Aao
Gurbat Ki Laaj Rakhlo Ulfat Ki Laaj Rakhlo
Aye Aetebaar E Sarwar Aaqa Madad Ko Aao
Sher E Qudaa Ki Dukhtar Zainab Ka Waasta Hai
Sabr O Razaa Ke Paikar Aaqa Madad Ko Aao
Azmat Ki Sarhado Mey Kaunain Ki Hado Mey
Hai Kaun Tumsey Behtar Aaqa Madad Ko Aao
Kitney Gharo Mey Bachey Bhookey Bhilak Rahey Hai
Tum Ho Gareeb Parwar Aaqa Madad Ko Aao
Takraa Rahey Hai Humsey Zulm O Sitam Ke Lashkar
Sher E Qudaa Ke Dilbar Aaqa Madad Ko Aao
Aayina E Aza E Shaah E Hudaa Ki Jaanib
Aaney Lagey Hai Pathar Aaqa Madad Ko Aao
Chaaya Huwa Andhera Hai Bey Wafaayiyo Ka
Arsh E Wafa Me Akhtar Aaqa Madad Ko Aao
Ghutlaa Rahi Hai Dunya Pyaaso Ki Wo Kahaani
Mashk O Alam Ko Leykar Aaqa Madad Ko Aao
Kashkol E Dil Badhaaye Rabb Se Bilaal O Aamir
Aakey Khadey Hai Darr Par Aaqa Madad Ko Aao
Ay Karbala Ke Haider Lyrics
Ay Karbala Ke Haider is one of the best Noha by Farhan Ali Waris.
You can listen this Noha online or download in MP3 from this site.
You can also read or download the lyrics of Ay Karbala Ke Haider
Read or download lyrics of Ay Karbala Ke Haider in roman urdu, urdu and english.
Disclaimer
This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.
As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.