Noha Title Abbas Se Kehna Hai
Noha Artist Ali Jee
Click Here To Download Abbas Se Kehna Hai Lyrics

Abbas Se Kehna Hai Lyrics

Abbas Abbas
Abbas Se Kehna Hai

Ay Ishq E Hussaini Mujhay Aijaaz Dikha Day
Tu Meri Aqeedat Ka Mujhy Aisa Sila Day
Ek Bar Mujhay Khawab Mein Ghazi Say Mila Day
Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Say Kehna Hai

Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai

Abbas Se Kehna Hai

Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai

Ghazi Alamdar E Wafa Ghazi Alamdar

Abbas Se Kehna Hai Keh Tum Shah E Wafa Ho
Tum Sheh Ky Alamdar Sakina Kay Chacha Ho
Aur Saray Muhibbon K Liye Dast E Ataa Ho
Abbas Ghulami Ki Sanad Ap Say Lena Hai

Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai

Ghazi Alamdar E Wafa Ghazi Alamdar

Jo Shan E Alamdar Wahi Shan E Alam Hai
Dono Hi Hamaray Hain Yeh Malik Ka Karam Hai
Maula Yeh Alam Aap Ka Hum Sab Ka Bharam Hai
Hum Ko To Alam Ky Hi Sada Saye Mein Rehna Hai

Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai

Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai

Tum Bab E Hawayej Ho Waseela Ho Hamara
Ata Hai Muraden Liye Chokhat Py Zamana
Dar Se Tumharay Koi Khali Nahi Jata
Allah Say Manga Hai Magar Tum Nay Dilana Hai

Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai

Ghazi Alamdar E Wafa Ghazi Alamdar

Gham Koi Bhi Jab Dill Ko Hamaray Hai Satata
Jab Koi Karha Waqt Kabhi Hum Py Hai Ata
Abbas Abbas
Abbas Alam Aap Ka Himmat Hai Barhata
Dill Tootay To Toota Hua Dill Tum Ko Bulata Hai

Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai

Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Se Kehna Hai

Abbas Se Kehna Hai

Saeen Meray Sarkar Meray Murshid O Maula
Is Bar Muharram Mein Ho Mera Bhi Bulawa
Likhwa Do Mera Naam Bhi Zawwaron Mein Aaqa
Ro Ro Ky Tumhen Noha Sakeena Ka Sunana Hai

Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai

Ghazi Alamdar E Wafa Ghazi Alamdar

Jo Jo Bhi Sitam Baad E Alamdar Hua Hai
Sadaat Nay Pardais Mein Jo Zulm Saha Hai
Har Morh Py Zainab Nay Yehi Ro Ky Kaha Hai
Is Dill Py Jo Guzri Hai Kisi Say Nahi Kehna Hai

Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai

Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Se Kehna Hai

Abbas Se Kehna Hai

Abbas Se Kehna Hai Keh Ghar Aao Na Maula
Tum Apni Ziyarat Hamen Karwao Na Maula
Meray Ghar Aao Na Maula Meray Ghar Aao Na Maula
Ek Tohfa Tumhara Hai Woh Lay Jao Na Maula
Pani Sy Bhari Mashk E Sakina Tumhen Dena Hai

Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai

Abbas Se Kehna Hai

Abbas Meray Rabb Ka Anmol Waseela Hai
Mashoor Zamanay Mein Saqqa E Sakina Hai
Har Tootay Huye Dill Ka Abbas Waseela Hai
Yeh Bab E Hawayej Hai Har Gham Ka Madaawa Hai
Har Labb Ka Wazeefa Hai Har Dill Mein Dharhakta Hai
Girton Ko Uthata Hai Doobo To Bachata Hai
Taqdeer Jagata Hai Qismat Ko Sajaata Hai
Abbas Se Kehna Hai Abbas Se Kehna Hai

Abbas Se Kehna Hai Hasnain Ka Sadqa Do
Abbas Se Kehna Hai Jholi Ko Meri Bhar Do
Abbas Se Kehna Hai Mushkil Meri Hal Kar Do
Abbas Se Kehna Hai Parcham Ki Hawa Dy Do
Abbas Se Kehna Hai Rozay Py Bula Bhaijo
Zawwari Ataa Kar Do Mola Yeh Karam Kar Do

Mola Yeh Karam Kar Do

Mujhay Abbas Se Kehna Hai

Mujhay Abbas Se Kehna Hai

Abbas Se Kehna Hai


Abbas Se Kehna Hai Lyrics

Abbas Se Kehna Hai is one of the best Noha by Ali Jee.

You can listen this Noha online or download in MP3 from this site.

You can also read or download the lyrics of Abbas Se Kehna Hai

Read or download lyrics of Abbas Se Kehna Hai in roman urdu, urdu and english.

Popular Tags

  • Abbas Se Kehna Hai Lyrics
  • Lyrics of Abbas Se Kehna Hai
  • Abbas Se Kehna Hai Lyrics Download
  • Download Lyrics of Abbas Se Kehna Hai
  • Abbas Se Kehna Hai Lyrics By Ali Jee

Disclaimer

This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.

As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.