Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai

Listen online or download Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai Naat in MP3 by Sibtain Haider

Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai Naat Lyrics

Madine walay ka jo bhi ghulaam ho jaaye

Qasam Khuda ki woh aala maqaam ho jaaye

Nabi ke ishq ka jis dil mein daagh roshan ho

To us pe aatish-e-dozakh haraam ho jaaye

Mere dil mein ishq-e-Huzoor hai

Main jahan mein sab se ameer hoon

Mujhe taajdaari se kya gharaz

Main dar-e-Nabi ka faqeer hoon

Lahad mein ishq-e-Muhammad ka daagh rakhta hoon

Andheri qabr mein roshan charaagh rakhta hoon

Main ghulaam-e-Panjtan-e-Paak hoon

Main dar-e-Batool ki khaak hoon

Main Hasan Hussain ka hoon gada

Main sag-e-janib-e-Ameer hoon

Khaaliq ne mujh ko meri talab se siwa diya

Sarmaya-dar-e-ishq-e-Muhammad bana diya

Mujhe mehr-o-maah se ho kaam kya

Tere naqsh-e-paa pe main hoon fida

Mujhe kya rehaayi se waasta

Teri zulf ka main aseer hoon

Kabhi mere zulmat kade mein aa

Ise apne noor se jagmaga

Main azal ke roz se muntazir

Tera aye Siraaj-e-Muneer hoon

Yeh ata hai ishq-e-Huzoor ki

Mujhe jis ne aisi hayaat di

Jo na bujh sake woh charaagh hoon

Jo na mit sake woh lakeer hoon

Jise kahiye jood-o-karam ki ja

Woh hai dar jahan mein Huzoor ka

Ussi dar se mujh ko Khuda mila

Ussi aastaan ka faqeer hoon

Shah-e-Yasrabi tere husn ki kise taab jo kare hamsari

Na gulon mein aisi shuguftagi, na yeh rang-o-boo na yeh taazgi

Teri misl koi hua na ho, tere sadqe jaaun main ya Nabi

Main hoon saajid-e-dar-e-Mustafa

Yeh mere Huzoor ki hai ata

Kahan unka dar, kahan mera sar

Main to ik ghulaam-e-haqeer hoon

_______________________________

مدینے والے کا جو بھی غلام ہوجائے

قسم خدا کی وہ اعلیِ مقام ہو جاۓ

نبی کے عشق کا جس دل میں داغ روشن ہو

تو اُس پہ آتشِ دوزخ حرام ہو جائے

میرے دل میں عشقِ حضور ہے

میں جہاں میں سب سے امیر ہوں

مجھے تاجداری سے کیا غرض

میں درِ نبی کا فقیر ہوں

لحد میں عشقِ محمد کا داغ رکھتا ہوں

اندھیری قبر میں روشن چراغ رکھتا ہوں

میں غلامِ پنجتنِ پاک ہوں

میں درِ بتول کی خاک ہوں

میں حٙسن حُسین کا ہوں گٙدا

میں سٙگے جانبِ امیر ہوں

خالِق نے مُجھ کو میری طلب سے سِوا دیا

سٙرمایہ دارِ عشقِ محمد بنا دیا

مُجھے مہر و ماہ سے ہو كام کیا

تیرے نقشِ پا پے میں ہوں فدا

مُجھے کیا رہائی سے واسطہ

تیری زُلف کا میں اٙسیر ہوں

کبھی میرے ظُلمت کدے میں آ

اِسے اپنے نُور سے جٙگمگا

میں اٙزل کے روزِ سے مُنتظر

تیرا اے سِراجِ مُنیر ہوں

یہ عطا ہے عشقِ حضور کی

مُجھے جس نے ایسی حٙیات دی

جو نہ بُجھ سکے وہ چراغ ہوں

جو نہ مِٹ سکے وہ لٙکیر ہوں

جسے کہیئے جُود و کرم کی جا

وہ ہے در جہاں میں حضور کا

اُسی در سے مُجھ کو خُدا مِلا

اُسی آستاں کا فقیر ہوں

شاہ یٙثربی تیرے حُسن کی کِسے تاب جو کرے ہٙمسری

نہ گُلوں میں ایسی شُگُفتگی نہ یہ رٙنگ و بُو نہ یہ تازگی

تیری مِثل کوئی ہُوا نہ ہو تیرے صٙدقے جاؤں میں یا نبی

میں ہوں ساجدِ درِ مُصطفیٰ

یہ میرے حضور کی ہے عطا

کہاں اُن کا در کہاں میرا سٙر

میں تو اِک غُلامِ حٙقیر ہوں

Disclaimer: All audio Naats shared on thenaatsharif.com are uploaded with permission from their rightful copyright owners. If you believe any of your copyrighted material appears here without authorization, please reach out with a copyright complaint, and we will remove it right away.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *