Maikada 2 (Maikhana Chahiye)
Listen online or download Maikada 2 (Maikhana Chahiye) Kalam in MP3 by Muhammad Samie
Maikada 2 (Maikhana Chahiye) Kalam Lyrics
Saghar ki aarzu hai na paimana chahiye
Bas ik nigaah-e-murshid-e-maiḳhana chahiye (Bedam)
Yeh maikada hai shaikh-e-haram apni raah le
Kam-zarf ko idhar kabhi ana na chahiye (Samie)
Samajh mein jis ko aata hai maqam-e-rind-o-paimana
Wohi to sidq-e-dil se shaikh g aata hai maikhana (Samie)
Kam-zarf ko idhar kabhi ana na chahiye
Peeni hai pijiye magar itna dheyaan rahe
Peenay ke baad hosh mein ana na chahiye (Samie)
Mehv-e-tasbeeh hi to sab hain magar idraak kahan
Zindagi khud hi ibadat hai magar hosh nahin
Keh gayi kaan mein aa kar tere daman ki hawa
Sahib-e-hosh wohi hai keh jise hosh nahi (Jigar)
Peene ke baad hosh mein ana na chahiye
Jis zindagi mein saqi tera zikr hi na ho
Behtar hai us hayat se mar jana chahiye (Samie)
Mar jana chahiye … chahiye
Mar jana chahiye
Aray marne se pesh-tar … tujhe
Mar jana chahiye … chahiye (Samie)
Mar jana chahiye
Marta nahi hai koi kisi ke firaaq se
Ye keh ke mar gaya koi aashiq firaaq se (Samie)
Mar jana chahiye … chahiye
Mar jana chahiye
Yeh aastan-e-yaar hai sehn-e-haram nahi
Jab rakh diya hai sar to uthana na chahiye (Asghar)
Fakhr-e-jahaan hai saqiya tera waqar bhi
Bande bhi tujh se raazi hain parwardigaar bhi
Qurban tujh pe gardish-e-lail-o-nahaar bhi
Qabzay mein mai-parast bhi taa’at guzaar bhi
Fazl-e-Khuda se dono jagah ehtiram hai
Saqi tu maikade mein, haram mein imam hai (Qamar)
Ay saqi-e-maikhana bhar de mera paimana
Ghanghor ghata hai ya udta hua maikhana (Hashr)
Barsaat ki hawa-e-moattar ka wasta
Maikhana khol Saqi-e-Kaosar (S.A.W.W.) ka wasta (Josh)
Jata hai mujh se mera zamana shabab ka
Ay peer-e-mughaan la mera sheesha sharab ka (Samie)
Har shae se barh ke taahir-o-at’har ho wo sharab
Misl-e-gul-e-bahisht-e-moattar ho wo sharab
Maqbool-e-bargaah-e-Payambar (SAWW) ho wo sharab
Maddah jis ka Khaliq-e-Akbar ho wo sharab
Jis ka kahin nishan na ho duniya-e-zisht mein
Ya tere maikaday mein mile ya bahisht mein (Qamar)
Saqi hain jis ke Shah-e-Wilayat (A.S.) wohi sharab
Jo Ehl-e-Bait (A.S.) ki hai mohabbat wohi sharab
Us khaas mai ka jam jo mash’hoor-e-aam hai
Jis ko piye baghair ibaadat haraam hai (Qamar)
Itni si aarzu hai Shehanshah-e-Karbala (A.S.)
Lo kar diya bayaan sar-e-aam-o-barmala (Samie)
Disclaimer: All audio Naats shared on thenaatsharif.com are uploaded with permission from their rightful copyright owners. If you believe any of your copyrighted material appears here without authorization, please reach out with a copyright complaint, and we will remove it right away.