Wo Shehr e Mohabbat
Listen online or download Wo Shehr e Mohabbat Naat in MP3 by Hafiz Munir Ahmed
Wo Shehr e Mohabbat Naat Lyrics
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
وہ سونے سے کنکر، وہ چاندی سی مٹی
نظر میں بسانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
قدم جس زمیں پر رکھے ہیں نبی نے
وہاں کھول رکّھے ہیں در روشنی نے
وہ گلیاں جہاں چلتے تھے میرے آقا
وہاں دل بچھانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
جو پوچھا نبی نے کہ کچھ گھر بھی چھوڑا
تو صدیقِ اکبر کے ہونٹوں پہ آیا
وہاں مال و دولت کی کیا ہے حقیقت
جہاں دل لٹانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
جو دیکھا ہے روئے جمالِ رسالت
تو بولے عمر ، مصطفیٰ جانِ رحمت !
بڑی آپ سے دشمنی تھی مگر اب
غلامی میں آنے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
جہادِ محبّت کی آواز گونجی
کہا حنظلہ نے یہ دلہن سے اپنی
اجازت اگر دو تو جامِ شہادت
لبوں سے لگانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
اُدھر دیدِ آقا میں ہر دم تڑپتے
اِدھر ہر گھڑی ماں کی خدمت میں رہتے
اویس اپنی حالت بتاتے بھی کس کو
مدینے میں جانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
ستم کا سبب کوئ پوچھے تو جا کر
کہیں گے بلالِ حبش مسکرا کر
تڑپتے سسکتے ہوئے اُن کی خاطر
میرا جاں سے جانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
ستاروں سے یہ چاند کہتا ہے ہر دم
تمہیں کیا بتاؤں دو ٹکڑوں کا عالم
اشارے میں آقا کے اتنا مزہ تھا
کہ پھر ٹوٹ جانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
وہ ننھا سا اصغر، وہ ایڑی رگڑ کر
یہی کہہ رہا ہے وہ خیمے میں رو کر
اے بابا ! میں پانی کا پیاسہ نہیں ہوں
میرا سر کٹانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
جو بچّے گئے بدر میں سب سے چھپ کر
جنہوں نے اڑایا ابوجہل کا سر
خدا کی قسم اُن کو دولھا بنا کر
گلے سے لگانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
وہ آقا کی مسجد، وہ آقا کا گنبد
وہ آقا کی جالی، وہ آقا کا روضہ
تصوُّر میں تصویر اُنکی بنا کر
وہیں ڈوب جانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
عجب کیفیت آنے لگتی ہے دل پر
عجب بیخودی چھانے لگتی ہے دل پر
مدینے کی جب چھیڑ دے کوئی باتیں
تو نعتیں سنانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
دیوانہ یہ مشک و حنا کا نہیں ہے
کوئی عطر بھی دل کو بھاتا نہیں ہے
مہکنے کی خاطر نبی کا پسینہ
بدن پہ لگانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
تجھے دیکھ کر مسکرائیگی جنّت
تِرے گر تلک چل کے آئیگی جنّت
کبھی دیکھ تو ماں سے کہہ کر، میری ماں !
تِیرا سر دبانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
جو دیکھا ہے آقا کے قدموں کا پتّھر
تو کیا حال دل کا بتاؤں، اے اظہر !
کبھی سر پہ رکھنے کو دل چاہتا ہے
کبھی سر جھکانے کو جی چاہتا ہے
وہ شہرِ محبّت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
----------------------
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Wo sone se kankar, wo chaandi si mitti
Nazar mein basane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Qadam jis zameen par rakhe hain Nabi ne
Wahan khol rakhe hain dar roshni ne
Wo galiyan jahan chalte the mere Aaqa
Wahan dil bichhane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Jo poocha Nabi ne ke kuchh ghar bhi chhoda
To Siddiq-e-Akbar ke honton pe aaya
Wahan maal o daulat ki kya hai haqeeqat
Jahan dil lutaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Jo dekha hai rooye jamal-e-risalat
To bole Umar, Mustafa Jaan-e-Rehmat!
Bari aap se dushmani thi magar ab
Ghulami mein aane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Jihad-e-mohabbat ki aawaaz goonji
Kaha Hanzala ne ye dulhan se apni
Ijazat agar do to jaam-e-shahadat
Labon se lagaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Udhar deed-e-Aaqa mein har dam tadapte
Idhar har ghadi maa ki khidmat mein rehte
Owais apni haalat batate bhi kis ko
Madinay mein jaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Sitam ka sabab koi pooche to jaa kar
Kahenge Bilal-e-Habash muskura kar
Tadapte sisakte hue unki khaatir
Mera jaan se jaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Sitaaron se ye chaand kehta hai har dam
Tumhein kya bataun do tukron ka aalam
Ishaare mein Aaqa ke itna maza tha
Ke phir toot jaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Wo nanha sa Asghar, wo eedee ragad kar
Yahi keh raha hai wo kheme mein ro kar
Ae Baba! main paani ka pyaasa nahin hoon
Mera sar katane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Jo bachche gaye Badr mein sab se chhup kar
Jinhon ne uraya Abu Jahl ka sar
Khuda ki qasam unko dulha bana kar
Gale se lagane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Wo Aaqa ki masjid, wo Aaqa ka gunbad
Wo Aaqa ki jaali, wo Aaqa ka roza
Tasawwur mein tasveer unki bana kar
Wahin doob jaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Ajab kaifiyat aane lagti hai dil par
Ajab bekhudi chhane lagti hai dil par
Madinay ki jab chhed de koi baatein
To naatein sunaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Deewana ye mushk o hina ka nahin hai
Koi itr bhi dil ko bhaata nahin hai
Mehakne ki khaatir Nabi ka pasina
Badan pe lagaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Tujhe dekh kar muskurayegi jannat
Tere ghar talak chal ke aayegi jannat
Kabhi dekh to maa se keh kar, meri maa!
Tera sar dabaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Jo dekha hai Aaqa ke qadmon ka patthar
To kya haal dil ka bataun, ae Azhar!
Kabhi sar pe rakhne ko dil chahta hai
Kabhi sar jhukaane ko ji chahta hai
Wo shehar-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko ji chahta hai
Disclaimer: All audio Naats shared on thenaatsharif.com are uploaded with permission from their rightful copyright owners. If you believe any of your copyrighted material appears here without authorization, please reach out with a copyright complaint, and we will remove it right away.