Mohammed Ke Shaher Mein Lyrics

Read online or download Mohammed Ke Shaher Mein Lyrics by Aslam Sabri & Qawwali MP3 Download

Mohammed Ke Shaher Mein Lyrics

Jab mera jazb-e-junoon auj ka zeena hoga, x2

Phelnay aur simatnay ka kareena hoga,

Ya Madinay mein, samajaye gee sari duniya,

Ya zamanay mein Madina hee Madina ho ga.

Ya Nabi aapke jalwon mein woh ranaayi hai, x2

Dekhnay par bhi meri aankh tamanayi hai,

Haq-taala bhi kareem, aur Mohammed bhi kareem,

Do kareemon mein gunahgaar ki bann aayi hai.

Mohammed ke shaher mein, Mohammed kay shaher mein

Mohammed ke shaher mein, Mohammed kay shaher mein.

Kyon aa kay roo raha hai, Mohammed ke shaher mein x2

Har dard ki dawa hai, Mohammed ke shaher mein. x2

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Dukh dard-o-alam gham katt-tay hain, x2

Hasnain ke sadqay batt-tay hain,

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein.

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein.

Kuch aisi bheed lagjaati hai shah-e-deen ke rozay par,

Hawaa ko raasta mushkil say milta hai,

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Ghamon se jab bhi tabiyet malool hoti hai,

Toh shaabgaam banaam-e-Rasool hoti hai,

Ho jis dua mein Mohammed ka waasta shaamil,

Huzoor-e-haq mein yakeenan qubool hoti hai,

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein.

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Hawwaayen bhi adab kay saath chalti hain,

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein.

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein.

Haath mein tasbeeh, baghal mein musalla,

Lab pe jaari Allah, Allah,

Kehti hui pohunchi Baitullah,

Aur pukaari aye mere Allah,

Too gada ko jo nawaaze toh shahenshah banay,

Aur yateemon ko jo chahe toh payyambar karde,

Aye mere Allah…..

[Toh awaz aayi: Pagli]

Mere parde mein wehdat ke siwa kya hai,

Jaa jo tujhe lena hai lay,

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein.

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein.

Meray baray mein kuch irshaad kiya jayega, x2

Dil-e-nashaad ko phir shaad kiya jayeega,

Mein yeh umeed lagaye huwey betha hoon Hazoor,

Aik baar aur mujhay yaad kiya jayega,

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein.

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein.

Aao gunahgaaro chalo sarr ke ball chalein, x3

Chalo sarr ke ball chalen, x6

Wahan sarr jhukatay hein Auleeya, x2

Wahan paoon rakhna rawa nahin,

Chalo sarr ke ball chalen… x2

Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Nazaan hai jis pay husn woh husn-e-Rasool hai,

Yeh keh-kashaan to app kay kadmoon ki dhool hai,

Aye rehrawaan-e-shaukh, chalo sarr kay bal chalien.

Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Begaana-e-irfaan ko, haqeeqat ki khabar kya,

Jo aapse waakif na ho, wo ahl-e-nazar kya,

Manzoor-e-nazar kaun hua iski khabar kya,

Woh fazl pay ajaye toh phir aib-o-hunar kya,

Kaamil ko darr-e-yaar ke sajdon say na roko,

Qurbaan jahan dil ho, wahan keemat-e-sarr kya

Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Aao gunahgaaron chalo sarr kay ball chalen x2

Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein

Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein

Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein

Kadmon nay unke khaak ko kundan banadiya,

Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya.

[ Allama Sir Muhammad Iqbal’s Poem Verse ]

Teri nigaah say zaraay bhi mehr-o-maah banay,

Gadaye besar-o-samaan jahan panaah banay,

Huzoor hee kay karam nay mujhay tasalli dee,

Huzoor hee meray gham mein meri panaah banay,

Zamana wajd-kuna ab bhi unkay tauk mein hai (Regarding Ghar-e-Hira),

Jo koho-dusht kabhi teri jalwagah bane,

Wohi maqaam mohabbat ki jalwa-gaah banay,

Jahaan jahaan say woh guzre jahan jahan pohunchay.

Kadmon nay unke khaak ko kundan banadiya,

Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya,

Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein

Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein.

Sadqa lutaa raha hai, Khuda Unke naam ka, x2

Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein

Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein

Sab toh jhuke hain Khana-e-Kaaba ke saamne,

Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

[ Maulana Ahmed Raza Khan Barelwi & Sufi Bismil Baba’s Poem Verses ]

Hajiyo aao Shahenshaah ka roza dekho,

Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho,

Madina woh hai ke Kabaa bhi sajda karta hai,

Kaaba khud Taiba ki janib jhukta lagta hai.

Kaabe ka Kaaba Sarkaar ka roza lagta hai.

Phool gulaab ka aapke chehre jaisa lagta hai,

Aur chamakta chaand Nabi ka talwa lagta hai.

Sab toh jhuke hain Khana-e-Kaaba ke saamne, x2

Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein.

Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka aaj bhi,

Khicha kuch is niraali-shaan say naksha Mohammed ka,

Kay naqqash-e-azal bhi hogaya shaida Mohammed ka,

Koi kya dekhta aks-e-kadd-e-wala Mohammed ka,

Saraapa noor tha woh kaamat-e-zebaa Mohammed ka,

Issi baais nazar aata na tha sayaa Mohammed ka.

Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka ajj bhi….. x2

Disclaimer: All audio Tracks shared on thenaatsharif.com are uploaded with permission from their rightful copyright owners. If you believe any of your copyrighted material appears here without authorization, please reach out with a copyright complaint, and we will remove it right away.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *