Noha Title | Abbas Aankhen Khol Do |
---|---|
Noha Artist | Ameer Hasan Aamir |
Click Here To Download Abbas Aankhen Khol Do Lyrics |
Sar Se Ye Karne Lagi Rokar Gila
Aa Gai Baali Sakina Ko Qaza
Ab To Aye Abbas Aankhein Khol Do
Qaidkhane Mein Ye Zainab Ne Kaha
Ab To Aye Abbas Aankhein Khol Do
Dafn Hum Ne Kar Diya Ghamkhaar Ko
Tum Na Aaye Aakhri Deedaar Ko
Ho Gai Hum Se Sakina Bhi Juda
Dard Aur Gham Ka Dafeena Dekh Lo
Ek Nazar Qabr E Sakina Dekh Lo
Ho Nahi Paai Wo Mar Kar Bhi Riha
Ho Gai Hai Dafn Wo Zer E Zami
Aaj Bhi Uske Liye Pani Nahi
Qaidkhana Ban Gaya Hai Karbala
Rote Rote Khatm Saansein Ho Gai,n
Khud Bhi Uski Band Aankhein Ho Gai,n
Jo Tumhe Deti Thi Ro Ro Kar Sada
Mustaqil Sehti Rahi Ranj O Mahan
Saal Bhar Pehne Rahi Ek Pairahan
Ho Gai Ghurbat Ki Us Par Inteha
Ab Sakina Pani Maangegi Nahi
Mashk Bhi Apni Tumhe Degi Nahi
Na Karegi Tum Se Wo Koi Gila
Dukhtar E Shaahe Madeena Ke Liye
Fateha Padh Do Sakina Ke Liye
Kar Do Apna Farz Tum Ye Bhi Ada
Jaan Se Piyari Sakina Thi Tumhe
De Rahi Hoon Main Qasam Uski Tumhe
Khol Do Ek Baar Tum Aankhein Zara
Aamir O Yaqoob Gham Barpa Hua
Zainab E Dilgeer Ne Jab Ye Kaha
Mil Gai Mujh Ko Sakina Ki Rida
Ab To Aye Abbas Aankhein Khol Do
Abbas Aankhen Khol Do Lyrics
Abbas Aankhen Khol Do is one of the best Noha by Ameer Hasan Aamir.
You can listen this Noha online or download in MP3 from this site.
You can also read or download the lyrics of Abbas Aankhen Khol Do
Read or download lyrics of Abbas Aankhen Khol Do in roman urdu, urdu and english.
Disclaimer
This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.
As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.