Abbas Ka Nara

Listen online or download Abbas Ka Nara Noha in MP3 by Nadeem Sarwar & Noha MP3

Abbas Ka Nara Noha Lyrics

Darya pe jo pohncha Asadullah ka pyara

Lalkar ke phir fauj ko Ghazi yeh pukara

Tum sab yehi kehte the ke darya hai hamara

Ab dekho ke darya hai hamara ke tumhara

Lo cheen lo yeh hum hain, yeh qabza hai hamara – darya hai hamara

Darya hai hamara

Abbas ka naara hai, Alamdar ka naara – darya hai hamara

Lo cheen lo yeh hum hain, yeh qabza hai hamara – darya hai hamara

Abbas-e-Alamdar, Alamdar, Alamdar

Main Haider-e-Karrar ke saaye mein pala hoon

Main Fatima Zahra ki duaaon ka sila hoon

Abbas mera naam, Alamdar-e-Wafa hoon

Yeh naam o nasab hai meri qismat ka sitaara

Darya hai hamara

Lo cheen lo yeh hum hain, yeh qabza hai hamara – darya hai hamara

Abbas ka naara hai, Alamdar ka naara – darya hai hamara

Aaqa ki duaaon ka karam saath hai mere

Dekho Bani Hashim ka hashm saath hai mere

Rutba hai Alamdar, alam saath hai mere

Lehra ke phiraira bhi yeh karta hai ishaara

Darya hai hamara

Abbas ka naara hai, Alamdar ka naara – darya hai hamara

Abbas-e-Alamdar, Alamdar, Alamdar

Saahil pe jo yeh fauj ke dasti hain tumhare

Ek aan mein paiwand-e-zameen hoon abhi saare

Darya ulat aaye abhi qadmon mein hamare

Ek hashr bapa kar doon main, kar doon jo ishaara

Darya hai hamara

Lo cheen lo yeh hum hain, yeh qabza hai hamara – darya hai hamara

Abbas ka naara hai, Alamdar ka naara – darya hai hamara

Khat bhej ke tum ne jinhein Yasrab se bulaya

Mehman the lekin unhein darya se hataya

Pyaase hi rahe woh, unhein paani na pilaya

Allah ne jin ke liye Kausar ko utara

Darya hai hamara

Abbas ka naara hai, Alamdar ka naara – darya hai hamara

Abbas-e-Alamdar, Alamdar, Alamdar

Yeh hukm hai Aaqa ka, na talwar uthana

Warna meri zarbon se larazta yeh zamaana

Yeh fauj-e-jafakaar, yeh zalim ka thikaana

Ek naize se naqsha hi badal jaayega saara

Darya hai hamara

Lo cheen lo yeh hum hain, yeh qabza hai hamara – darya hai hamara

Abbas ka naara hai, Alamdar ka naara – darya hai hamara

Kya fauj ki tadaad batate ho humein tum

Hum dekhein ke kis tarah hatate ho humein tum

Kis haakim o jaabir se darate ho humein tum

Ab naam na lena kisi haakim ka dobara

Darya hai hamara

Abbas ka naara hai, Alamdar ka naara – darya hai hamara

Abbas-e-Alamdar, Alamdar, Alamdar

Pyaasa hoon magar sun lein sabhi dushman-e-jani

Paani mujhe peena nahi, le jaana hai paani

Haaye mere masoom ki woh tishna dahani

Hai mashk-e-Sakina unhi pyaason ka sahaara

Darya hai hamara

Lo cheen lo yeh hum hain, yeh qabza hai hamara – darya hai hamara

Abbas ka naara hai, Alamdar ka naara – darya hai hamara

Tareekh ne dekha na hilal aisa wafadaar

Ab bhi hai tarai ki zameen par woh dil afghaar

Woh dekh zara roza-e-Abbas-e-Alamdar

Ek zinda gawahi hai yeh marqad ka nazara

Darya hai hamara

Abbas ka naara hai, Alamdar ka naara. darya hai hamara

Lo cheen lo yeh hum hain, yeh qabza hai hamara, darya hai hamara

Ek shor hai… Darya hai hamara

Disclaimer: All audio Naats shared on thenaatsharif.com are uploaded with permission from their rightful copyright owners. If you believe any of your copyrighted material appears here without authorization, please reach out with a copyright complaint, and we will remove it right away.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *