Presenting you the Baba Jaan Alvida MP3 Download in the beautiful voice of Ali Mohammad. Play online or download Baba Jaan Alvida Noha in MP3 (Audio) for free. On this page you will also get Baba Jaan Alvida Noha Lyrics In Urdu And Hindi.

Ali Mohammad's Baba Jaan Alvida is one of the best audio Noha, which you can download at 320kbps by clicking the download button.

Download Now

Baba Jaan Alvida Noha Lyrics

Baba Jaan Alvida Noha MP3 Download

Bap ka ghar se taboot jisdam chala

Haye beti ne rokar padha marsiya

Khoon ke ashk aankhon se honge rawan

Chain ek pal na payega ab dil mera

1. Ab talak mai tadapti thi man ke liye

Aap ki yaad aayegi ab rat din

Sar pe man baap donon ka saya nahi

Ye qiyamat rulayegi ab rat din

Ab to zainab hai our ye yateemi ka gham

Zindagi har qadam ab lage gi qaza

2. Roke kahti thi zainab mere baba jan chain ek pal kahin ab na paungi mai

Aap ka our amma ki furqat ka gham

Donon ek sath kaise uthaungi mai

Ab nigahun me chhaya rahe ga dhuwan

Our rulayega hardam khyal aapka

3. Name jab bhai yateemi ka sunti thi mai

Kanp jata tha seene me mera jigar

Kaise rahte hain bachche pidar ke bina

Dil dahelta tha is baat ko soch kar

Mujhko himmat ki Dekar k jayen dua ab yateemi se zainab ka hai samna

4. Dard ki tegh se us ghadi aye pidar

Haye mera kaleja to phat jayega

Aap ke soone hujre mai jab aapka

Mujhko khali musallah nazar aayega

Aapko dil tadapkarke dega sada

Sabr kaise karungi gi wahan. Mai bhala

5. Aap kahte the kufa badal jayega

Lag raha hai wo din aagaya hai qareeb

Ab yaqeen hogaya aapke shahr me

Ek din hone wali hai zainab ghareeb

Hai jahan meri shahi usi shahr me

Qaid hokar ke aaungi mai be rida

6. Aye mere baba jan hamne socha na tha

Chhod kar aap hamko chale jayenge

Baapki wo nigahen muhabbat bhari

Aaj ke bad bachche kahan payenge

Mera abbas jakarke dahleez par

Kiske aane ka dekhega ab rasta

7. Haye waiz hua ek mahshar bapa

Aye ali jab ye zainab ne rokar kaha

Roye hasnaino abbas sar peet kar

Baap se jab beti ne ki iltija

Waqte shame ghareeban jo dun mai sada

Aap aakar badhana mera howsla

About Ali Mohammad

Listen online or dowload Huge collection of beautiful Naats, Qawwalies, Nohay, Manqabat and Nohay in the superb vocals of Ali Mohammad