Noha Title Aey Neher E Alqama
Noha Artist Nadeem Sarwar
Click Here To Download Aey Neher E Alqama Lyrics

Aey Neher E Alqama Lyrics

Pyaasa Raha Jaan-e-nabi Aey Waey Nehr-e-alqama

Uth Thi Rahin Maujain Teri Aey Waey Nehr-e-alqama

Wo Khushk Lab Sookha Gala
Sher-e-khuda Ki Aal Ka
Wo Tere Hauton Par Tari
Aey Waey Nehr-e-alqama

Toofan Uthana Tha Tujhay
Ya Sookh Jana Tha Tujhay
Kuch Tu Nay Kidhmat Hi Na Ki
Aey Waey Nehr-e-alqama

Ek Mashq Pani Kay Liye
Abbas Kay Shanay Katay
Naddi Lahoo Ki Behgayi
Aey Waey Nehr-e-alqama

Dubay Lahoo Main Yaq Kalam
Kya Kya Ghazalan-e-haram
Dekhiye Kashti Doobti
Aey Waey Nehr-e-alqama

Ek Chadar-e-abay Rawan
Auray Huye Tu Nohakhwan
Zainab Ki Yeh Bechadari
Aey Waey Nehr-e-alqama

Qabzay Main Teray Aab Ho
Aur Pyaas Say Betaab Ho
Sheh Kay Chaman Ki Har Kali
Aey Waey Nehr-e-alqama

Ashq-e-sakina Behgaye
Mou Dekh Tay Sab Rehgaye
Tu Aur Teri Dariyadili
Aey Waey Nehr-e-alqama

Yeh Kaun Sa Dastoor Tha
Mehmaan Kitni Door Tha
Kya Paoun Main Zanjeer Thi
Aey Waey Nehr-e-alqama

Khaima Rahey Shabeer Ka
Youn Dhoop Main Jalta Hua
Sahil Pe Ho Fauj-e-shaki
Aey Waey Nehr-e-alqama

Hasrat Ki Ek Tafseer Thi
Khud Tere Dil Par Teer Thi
Jo Mauj Uthi Aisi Uthi
Aey Waey Nehr-e-alqama

Aata Hai Usko Yaad Jab
Vo Karvanay Tashnalab
Hai Najm Ka Nauha Yahi
Aey Waey Nehr-e-alqama


Aey Neher E Alqama Lyrics

Aey Neher E Alqama is one of the best Noha by Nadeem Sarwar.

You can listen this Noha online or download in MP3 from this site.

You can also read or download the lyrics of Aey Neher E Alqama

Read or download lyrics of Aey Neher E Alqama in roman urdu, urdu and english.

Popular Tags

  • Aey Neher E Alqama Lyrics
  • Lyrics of Aey Neher E Alqama
  • Aey Neher E Alqama Lyrics Download
  • Download Lyrics of Aey Neher E Alqama
  • Aey Neher E Alqama Lyrics By Nadeem Sarwar

Disclaimer

This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.

As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.