Kalam Title Bekhud
Kalam Artist Muhammad Samie
Click Here To Download Bekhud Lyrics

Bekhud Lyrics

Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz-e-hijaabana
Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana

Dunya Main Mujhay Tum Ne Jab Apna Banaya Hai
Mahshar Mein Bhi Keh Dena Yeh Hai Mera Deevana

Itna To Karam Karna Aye Nargis-e-mastana
Jab Jaan Labon Par Ho Tum Saamne Aa Jana

Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana
In Donon Se Agay Chal Ai Himmat-e-mardana

Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana
[chorus]

Zair-e-zameen Rahoon Keh Tah-e-aasman Rahun
Ai Justaju-e-yaar Bata Mein Kahan Rahun … !!!

Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana
[chorus]

Le Kar Haram Main Shaikh Gaya Deen Ki Talab
Pandit Ko But-kade Main Dharam Ki Talaash Hai
Mera Dharam Yahi Hai Keh Mil Jaae Tu Mujhe
Mujh Ko Teri Nigaah-e-karam Ki Talaash Hai … !!!

Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana
[chorus]

Vaaiz Kamaal-e-tark Se Milti Hain Muraadain
Duniya Jo Chorh Di Hai To Uqba Bhi Chorh De
Hai Aashiqi Main Rasm Alag Sab Se Baithna
But-ḳhana Bhi Haram Bhi Kaleesa Bhi Chorh De … !!!

Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana
[chorus]

Ab Admi Kuch Aur Hamari Nazar Mein Hai
Jab Se Suna Hai Yaar Libas-e-bashar Mein Hai
Sehn-e-Haram Mein Hai Na Button Ke Nagar Mein Hai
Jis Ki Tujhe Talash Hai Voh Dil Ke Ghar Mein Hai … !!!

Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana
[chorus]

Ay Jalwa-e-janana Ay Jalwa E Janana
Ay Jalwa-e-janana Ay Jalwa E Janana
[chorus]

Vahdat Men Teri Harf Dui Ka Na Aa Sake
Aina Kya Majaal Tujhe Munh Dikha Sake
Arz-o-samaa Kahan Teri Vus’at Ko Paa Sake
Mera Hi Dil Hai Voh Keh Jahan Tu Sama Sake … !!!

Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana
[chorus]

Jo Naqsh Hai Hasti Ka Dhoka Nazar Aata Hai
Parde Pe Musavvir Hi Tanha Nazar Aata Hai … !!!

Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana
[chorus]

Us Chashm-e-ba-suroor Ka Aalam Na Poochiye
Ik Ik Nigaah Hai Kaee Aalam Liye Hue
Uth Ai Naqaab-e-yaar Keh Baithe Hain Der Se
Kitne Ghareeb Deeda-e-pur-nam Liye Hue … !!!

Maikhana-e-hasti Mein Mai-kash Vohi Mai-kash Hai
Sambhle To Behak Jaye Behke To Sambhal Jaye
Ai Jalwa-e-janana Phir Aisi Jhalak Dikhla
Hasrat Bhi Rahe Baqi Armaan Bhi Nikal Jaye … !!!

Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana
[chorus]

Mujhe Teri Aarzu Hai Meri ḳhalvaton Main Aa Ja
Mujhe Vaasta Hai Tujh Se Mere Dil Main Tu Sama Ja
Meri Zindagi Ke Maalik Meri Zindagi Main Aa Ja
Tujhe Dhoondhti Hain Nazren Mujhe Ik Jhalak Dikha Ja … !!!

Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana
[chorus]

Bas Jaan Gaya Main Teri Pahchaan Yahi Hai
Tu Dil Men To Aata Hai Samajh Men Nahin Aata … !!!

Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana
[chorus]

Meeri Mein Faqiri Mein Shahi Mein Ghulami Mein
Kuch Kaam Nahin Banta Be-jurr’at-e-rindana
Mit Kar Bhi Rahe Baqi Jo Tujh Pe Mitay Saqi
Mit’tay Hain To Bante Hain Khaak-e-dar-e-maikhana … !!!

Peeney Ko To Pee Loon Ga Par Shart Zara See Hai
Saqi Ho Najaf Ka Aur Karbal Ka Ho Maikhana (Bedam)

Hum Aasiyon Par Rab Ne Ye Ehsaan Kiya Hai
Hum Ko Aseer-e-Haider-e-Karrar A.S. Kiya Hai
Aati Hai Sada Aaj Bhi Karbal Ki Zameen Se
Mil Sakta Nahi Hamsar-e-Shabbir A.S. Kaheen Se
Hariaan Hun Mein Us Shakhs Pe Jis Ne Ye Na Jana
Awwal Bhi Hai Afzal Bhi Muhammad S.A.W.W. Ka Gharana

Saqi Ho Najaf Ka Aur Karbal Ka Ho Maikhana
[chorus]

Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz-e-hijaabana
Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana

*********************************************

Singer: Muhammad Samie
Composition & Arrangements: Muhammad Samie
Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie
Poets: Bedam Shah Warsi | Allama Iqbal | Khawaja Meer Dard | Akbar Allahabadi | Asghar Gondvi | Jaleel Manikpuri | Muztar Khairabadi | Fana Bulandshahri | Fana Nizami Kanpuri | Dattatriya Kaifi | Muhammad Samie
======================================
AUDIO CREW:
Music: J Ali
Harmonium: Muhammad Samie
Dholak: Irfan Aly
Dhol: Irfan Aly
Tabla: Israr Dildar
Acoustic Guitar: Musa Raza
Recording, Mixing & Mastering: J Ali
Production House: Soul Speaks


Bekhud Lyrics

Bekhud is one of the best Kalam by Muhammad Samie.

You can listen this Kalam online or download in MP3 from this site.

You can also read or download the lyrics of Bekhud

Read or download lyrics of Bekhud in roman urdu, urdu and english.

Popular Tags

  • Bekhud Lyrics
  • Lyrics of Bekhud
  • Bekhud Lyrics Download
  • Download Lyrics of Bekhud
  • Bekhud Lyrics By Muhammad Samie

About Muhammad Samie

Muhammad Samie MP3 Naats

Listen online or download the huge collection of Latest MP3 Naats in the superb vocals of Muhammad Samie