Noha Title Labbaik Ya Hussain
Noha Artist Irfan Haider
Click Here To Download Labbaik Ya Hussain Lyrics

Labbaik Ya Hussain Lyrics

Labbaik Ya Hussain Lyrics

Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain
Aati Hai Azaadaaron Ke Dil Se Ye Hi Sadaa
Karte Rahenge Maatame Shabbir Ham Sadaa
Labbaik Ya Hussain

Abbas Jaise Bhay Ki Wo Shaan Hai Hussain
Khuda Ko Jis Pe Naaz Wo Insaan Hai Hussain
Maatam Ye Azaadaaro Ki Pehchaan Hai Hussain
Neze Pe Jo Paaraa Hai Wo Quraan Hai Hussain
Hojaaye Qayaamat Bhi To Ye Gham Na Rukegaa
Karte Rahenge Maatame Shabbir Ham Sadaa

Labbaik Yah Hussain Labbaik Yah Hussain

Nana Se Kiya Waada Nibhaaya Hussain Ne
Laashon Se Karbala Ko Sajaaya Hussain Ne
Baatil Ke Aage Sar Na Jhukaaya Hussain Ne
Sar Deke Ye Islaam Bachaaya Hussain Ne
Zehra Ke Bhare Ghar Pe Thi Lashkar Ki Wo Jafaa
Karte Rahenge Maatame Shabbir Ham Sadaa

Labaik Ya Hussain Labaik Ya Hussain

Karbobala Me Ek Sahaara Hussain Hai
Haider Ke Baazu Zehra Ka Pyaara Hussain Hai
Beti Ke Liye Baap Ka Seena Hussain Hai
Paani Ke Liye Pyaason Ka Dariya Hussain Hai
Dikhlaado Ye Dunya Ko Ghame Shahe Karbala
Karte Rahenge Maatame Shabbir Ham Sadaa

Labbaik Ya Hussain

Bachhon Pe Zulm Sakhtiyaan Sehte Rahe Hussain
Shiddat Ki Pyaas Dhoop Me Rote Rahe Hussain
Lashen Utha Ke Tanha Tarapte Rahe Hussain
Nana Ka Magar Waada Nibhaate Rahe Hussain
Nazron Me Hamaare Hai Basaa Zulm Wo Jafa
Karte Rahenge Maatame Shabbir Ham Sadaa

Labbaik Ya Hussain

Lashkar Hai Wo Yazeed Ka Ab Karbala Tanha
Hussain Pe Khanjar Chala Ab Karbala Tanha
Sarwar Pe Ho Chuki Hai Jafaa Karbala Tanha
Pyaasa Shaheed Hogaya Ab Karbala Tanha
Ham Khoon Ki Tehreer Se Likhenge Ye Sadaa
Karte Rahenge Maatame Shabbir Ham Sadaa

Labbaik Ya Hussain

Rote The Sabhi Bibiyaan Shabbir Ko Kehkar
Zainab Ki Paak Sar Se Jab Chhini Gayi Chaadar
Kis Tarha Se Dekhegi Sakina Bhi Ye Manzar
Paani Dikhaake Haste Hain Wo Saare Sitamgar
Dil Me Hamaare Gham Hai Basaa Shaahe Karbala
Karte Rahenge Maatame Shabbir Ham Sadaa

Labbaik Ya Hussain

Rote Huwe Likhta Hun Qalam Aaj Bhi Tera
Akbar Ne Likha Nauhe Me Gham Aaj Bhi Tera
Kazim Ne Parha Nauha Sukhan Aaj Bhi Tera
Bachhon Ke Saron Par Hai Alam Aaj Bhi Tera
Mar Jaaye To Bhi Aayegi Turbat Se Ye Sada
Karte Rahenge Maatame Shabbir Ham Sadaa

Labbaik Ya Hussain
Telecharger Fichier Mp3 Ici
[clic-droit, Enregistrer La Cible]


Labbaik Ya Hussain Lyrics

Labbaik Ya Hussain is one of the best Noha by Irfan Haider.

You can listen this Noha online or download in MP3 from this site.

You can also read or download the lyrics of Labbaik Ya Hussain

Read or download lyrics of Labbaik Ya Hussain in roman urdu, urdu and english.

Popular Tags

  • Labbaik Ya Hussain Lyrics
  • Lyrics of Labbaik Ya Hussain
  • Labbaik Ya Hussain Lyrics Download
  • Download Lyrics of Labbaik Ya Hussain
  • Labbaik Ya Hussain Lyrics By Irfan Haider

About Irfan Haider

Irfan Haider MP3 Nohay [caption id="" align="alignleft" width="119"]Irfan Haider Nohay MP3 Download Irfan Haider Nohay MP3 Download[/caption]

Listen online or download the huge collection of Latest MP3 Nohay in the superb vocals of Irfan Haider.

Irfan Haider is one the best Noha Reciter of Pakistan who is famous worldwide for his unique style of Noha Khawani. On this page you will find the list of best Noha's By Irfan Haider.