Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics – Read Online Or Download Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics In Urdu, Hindi, And English Written with audio free from our site.

Download Now

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam Jis Suhaani Ghadi Chamka Taiba Ka Chand Us Dil Afroz Saa’at Pe Lakhon Salam Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam Allah Allah Woh Bachpane Ki Phaban Us Khuda Bhaati Soorat Pe Lakho Salam Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aagaya Us Nigah E Inaayat Pe Lakhon Salaam Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam Ghous E Azam Imam Ut Tuqa Wannuqa Jalwa E Shan E Qudrat Pe Lakhon Salam Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur Bheje Sab Unki Shauqat Pe Lakhon Salaam Mujh Se Khidmat Ke Qudsi Kahe Haan RAZA Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Naat Lyrics In Urdu Written

مصطفٰیﷺ جانِ رحمت پہ لاکھوں سلام مصطفٰیﷺ جانِ رحمت پہ لاکھوں سلام شمعِ بزمِ ہدایت پہ لاکھوں سلام ہم غریبوں کے آقا پہ بے حد درود ہم فقیروں کی ثروت پہ لاکھوں سلام جس سُہانی گھڑی چمکا طَیبہ کا چاند اُس دِل افروز ساعت پہ لاکھوں سلام غوثِ اعظم اِمامُ اتقٰی والنُقٰی جلوہ ئِ شانِ قدرت پہ لاکھوں سلام ڈال دی قلب میں عظمتِ مصطفٰی ﷺ سیّدی اعلٰی حضرت پہ لاکھوں سلام کاش محشر میں اُن کی آمد ہو اور بھیجیں سَب اُن کی شوکت پہ لاکھوں سلام مُجھ سے خدمت کے قُدسی کہیں ہاں رضا مُجھ سے خدمت کے قُدسی کہیں پڑھ رضا مصطفٰیﷺ جانِ رحمت پہ لاکھوں سلام شمعِ بزمِ ہدایت پہ لاکھوں سلام السَلام یا رحمتَ لِلعٰلمین السَلام اے سبز گُنبد کے مکین یا اِلٰہی واسطہ ذِکرِ رسولﷺ یہ سلامِ ِ عاجزانہ ہو قبول

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Complete Lyrics

Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam Shamme Bazme Hidayat Pe Laakho(n) Salaam Mehre Charkhe Nubuvvat Pe Roushan Durood Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakho(n) Salaam Shehre Yaare Iram Tajdaare Haram Nau Bahaar E Shafa’at Pe Laakho(n) Salaam Shab E Asra Ke Dulha Pe Da-im Durood Nausha E Bazme Jannat Pe Laakho(n) Salaam Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe Laakho(n) Salaam Noor E Ain E Latafat Pe Alt(a)f Durood Jaibo Jaine Najafat Pe Laakho(n) Salaam Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze Hikam Yakka Taaze Fazilat Pe Laakho(n) Salaam Nukta E Sirre Wahdat Pe Yakta Durood Markaze Daure Kasrat Pe Laakho(n) Salaam Sahibe Raj’ate Shamso Saqqul Qamar Naib E Daste Qudrat Pe Laakho(n) Salaam
[adinserter block="4"]
Jiske Zere Liwa Adamo Man Siva Uss Sada E Siyadat Pe Laakho(n) Salaam Arsh Ya Farsh Hai Jiske Zere Nagee(n) Uski Qaahir Riyasat Pe Laakho(n) Salaam Asle Har Buudo Bahbood Takhme Wajood Qasim E Kanze Ne’amat Pe Laakho(n) Salaam Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad Durood Khatme Daur E Risalat Pe Laakho(n) Salaam Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakho(n) Salaam Be-Saheemo Q(a)simo Adeelo Maseel Jouhar E Farde Izzat Pe Laakho(n) Salaam Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi Durood Itre Jaibe Nihayat Pe Laakho(n) Salaam Maahe Lahoote Khilwat Pe Laakho(n) Durood Shahe Naasoot E Jalwat Pe Laakho(n) Salaam Kanze Har Bekaso Benawa Par Durood Harze Har Rafta Taaqat Pe Laakho(n) Salaam Partave Isme Zaate Ahad Par Durood Nuskha E Jaameiyyat Pe Laakho(n) Salaam Mat-La’e Har Sa’adat Pe As’ad Durood Maqtae Har Siyadat Pe Laakho(n) Salaam Khalq Ke Dadras Sabke Fariyad Ras Kahfe Roze Musibat Pe Laakho(n) Salaam Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakho(n) Durood Mujhse Bebas Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam Shamme Bazme D(a)na Hu Mai Gum Kun Ana Shar-He Matne Huviyyat Pe Laakho(n) Salaam Intiha E Daayi Ibtida E Yakee Jam’a Tafreeqo Kasrat Pe Laakho(n) Salaam Kasrat E Baad E Qillat Pe Aksar Durood Izzate Baade Zillat Pe Laakho(n) Salaam Rabb E Aala Ki Ne’amat Pe Aala Durood Haq Ta’ala Ki Minnat Pe Laakho(n) Salaam Hum Ghareebo Ke Aaqa Pe Behad Durood Hum Faqeeri Ki Sarwat Pe Laakho(n) Salaam Farhate Jaane Mo’min Pe Behad Durood Ghaize Qalbe Jalalat Pe Laakho(n) Salaam Sab-Be Har Sabb Muntaha E Talab Illate Julmo Illat Pe Laakho(n) Salaam Masdar E Mujhariyyat Pe Azhar Durood Mazhar E Masdariyyat Pe Laakho(n) Salaam Jiske Jalwe Se Murjhayi Kaliya(n) Khili Uss Ghul E Paak Mimbat Pe Laakho(n) Salaam Qadde Be-Saaya Ke Saya E Marhamat Jille Mamdud E Raafat Pe Laakho(n) Salaam Tairan E Quds Jiski Hai Kumriya(n) Us Sahi Sarve Kaamat Pe Laakho(n) Salaam Wasf Jiska Hai Aayina E Haqnuma Us Khuda Saaz Tal’at Pe Laakho(n) Salaam Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe Uss Sare Taaje Rif’at Pe Laakho(n) Salaam Wo Karam Ki Ghata Ghesu E Mushk Sa Lakka E Abre Raafat Pe Laakho(n) Salaam Lailatul Qadr Me Matlail Fajre Haq Maang Ki Istiqamat Pe Laakho(n) Salaam Lakht Lakhte Dile Har Jigar Chaak Se Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakho(n) Salaam Duur O Nazdeek Ke Sunne Waale Wo Kaan Kaan E La’le Karamat Pe Laakho(n) Salaam Chashma E Mehr Me Mouje Noor E Jalaal Us Raghe Hashemiyyat Pe Laakho(n) Salaam Jiske Mathe Shafa’at Ka Sehra Raha Us Jabeen E Sa’adat Pe Laakho(n) Salaam Jinke Sajde Ko Mehraab E Kaaba Jhuki Unn Bhavo(n) Ki Latafat Pe Laakho(n) Salaam Unki Aankho(n) Pe Wo Saaya Afghan Miza Zilla E Qasr E Rahmat Pe Laakho(n) Salaam Ashq Baari E Mizga(n) Pe Barse Durood Silke Durre Shafa’at Pe Laakho(n) Salaam Ma’ana E Qad Ra-aa Maqsad E Maa Tagaa Nargis E Baaghe Qudrat Pe Laakho(n) Salaam Jiss Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya Us Nigah E Inayat Pe Laakho(n) Salaam Nichee Aankho(n) Ki Sharmo Haya Par Durood Unchi Beene Ki Rifa’at Pe Laakho(n) Salaam Jinke Aage Charage Qamar Jhilmilay Un Azaaro Ki Tal’at Pe Laakho(n) Salaam Unke Khad Ki Suhulat Pe Behad Durood Unke Qad Ki Rishaqat Pe Laakho(n) Salaam MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage Us Chamak Waali Rangat Pe Laakho(n) Salaam Chaand Se Muh Pe Taaba Darkhsha Durood Namak Aagi Sabahat Pe Laakho(n) Salaam Shabnam E Baagh E Haq Yani Rukh Ka Araq Uski Sachhi Baraakat Pe Laakho(n) Salaam Khat Ki Girde Dahan Wo Dilara Faban Sabz E Nahre Rehmat Pe Laakho(n) Salaam Rishe Khus Mu’atadil Marham E Reshe Dil Hala E Mah E Nudrat Pe Laakho(n) Salaam Patli Patli Ghul E Quds Ki Pattiya Un Labo(n) Ki Nazakat Pe Laakho(n) Salaam Wo Dahan Jiski Har Baat Wahee E Khuda Chashma E Ilmo Hiqmat Pe Laakho(n) Salaam Jiske Paani Se Shadaab Jaan O Jinaa Uss Dahan Ki Taravat Pe Laakho(n) Salaam Jis Se Khari Kuve Shira E Jaa(n) Bane Us Julale Halavat Pe Laakho(n) Salaam Wo Jabaa(n) Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho(n) Salaam Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood Sakee Dilkash Balaghat Pe Laakho(n) Salaam Uski Baato(n) Ki Lazzat Pe Laakho(n) Durood Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakho(n) Salaam Woh Dua Jiska Joban Bahaar E Qubool Us Naseem E Ijabat Pe Laakho(n) Salaam Jinke Guchche Se Lachche Jhade Noor Ke Un Sitaro Ki Nuzhat Pe Laakho(n) Salaam Jiski Taskee(n) Se Rote Hue Has Pade Us Tabassum Ki A’adat Pe Laakho(n) Salaam Jis Me Nahre Hai Shiro Shakar Ki Rawa(n) Us Gale Ki Nazarat Pe Laakho(n) Salaam Dosh Bar Dosh Hai Jin Ke Shaane Sharaf Aise Shaano Ki Shauqat Pe Laakho(n) Salaam Hajre Aswad Ka’aba E Jaan O Dil Yaani Mehre Nubuvvat Pe Laakho(n) Salaam Ru-e Aaina E Ilme Pushte Huzoor Pushti E Qasr E Millat Pe Laakho(n) Salaam Haath Jis Samt Utha Ghanee Kar Diya Mouje Behre Sama’at Pe Laakho(n) Salaam Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi Aise Bazoo Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam Ka’aba E Deen O Imaa(n) Ke Dono Sutoo(n) Sayyedaine Risalat Pe Laakho(n) Salaam MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM Jiske Har Khat Main Hai Mouje Noor E Karam Us Kafe Bahre Himmat Pe Laakho(n) Salaam Noor Ke Chashme Lehraye Dariya Bahee Ungliyo(n) Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam Eid E Mushkil Kusha E Ke Chamke Hilaal Nakhoono Ki Basharat Pe Laakho(n) Salaam Raf’a E Zikre Jalalat Pe Arfa’a Durood Sharhe Sadre Sadarat Pe Laakho(n) Salaam Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yu Kahu Guncha E Raaze Wahdat Pe Laakho(n) Salaam Kul Jahaa(n) Milk Aur Jou Ki Roti Ghiza Uss Shikam Ki Kana’at Pe Laakho(n) Salaam Jo Ki Azme Shafa’at Pe Khinch Kar Bandhi Us Qamar Ki Himayat Pe Laakho(n) Salaam Ambiya Tah Kare Jaanu Unke Huzoor Jaanuo Ki Wajahat Pe Laakho(n) Salaam Saake Asl E Qidam ShaakhE Nakhle Karam Sham’e Raah E Isabat Pe Laakho(n) Salaam Khayi Quraa(n) Ne Khaaqe Guzar Ki Qasam Us Kafe Paa Ki Hur Mat Pe Laakho(n) Salaam Jis Suhani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand Us Dil Afroz Sa’at Pe Laakho(n) Salaam Pehle Sajde Pe Rouze Ajal Se Durood Yaadgari E Ummat Pe Laakho(n) Salaam MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM Zar’e Shadab E Har Zar’e Pur Sheer Se Barkaate Reja’at Pe Laakho(n) Salaam Bhaiyo Ke Liye Tark Pista(n) Kare Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakho(n) Salaam Mahde Waala Ki Qismat Pe Behad Durood Burje Maah E Risalat Pe Laakho(n) Salaam ALLAH ALLAH Wo Bachpane Ki Phaban Us Khuda Bhaati Surat Pe Laakho(n) Salaam Uth-Te BuTo Ki Nashwo Numa Par Durood Khilte Guncho Ki Nikhat Pe Laakho(n) Salaam Fazl E Paidaishi Par Hamesha Durood Khelne Se Karahat Pe Laakho(n) Salaam A’etela E Jabillat Pe Aala Durood A’etedal E Tivayat Pe Laakho(n) Salaam Be Banavat Adaa Par Hazaro Durood Be Takalluf Malahat Pe Laakho(n) Salaam Bhini Bhini Mahak Par Mahakti Durood Pyari Pyari Nafasat Pe Laakho(n) Salaam Meethi Meethi Ibarat Pe Shiree(n) Durood Achhi Achhi Isharat Pe Laakho(n) Salaam Seedhi Seedhi Ravish Par Karoro(n) Durood Saadi Saadi Tabi’at Pe Laakho(n) Salaam Roze Garmo Shabe Teera Wo Taar Me Koho Sahra Ki Khalvat Pe Laakho(n) Salaam Jiske Ghere Me Hai Ambiya O Malak Us Jahangeer E Ba’sat Pe Laakho(n) Salaam Andhe Sheeshe Jhalajhal Damakne Lage Jalwa Rezi E Daawat Pe Laakho(n) Salaam Lutf E Bedari E Shab Pe Behad Durood Aalam E Khwab E Rahat Pe Laakho(n) Salaam Kh(a)nda-e Subho Ishrat Pe Noori Durood Giry(a) E Abre Rehmat Pe Laakho(n) Salaam Nirmi E Khu E Leenat Pe Daim Durood Garmi E Shaane Satavat Pe Laakho(n) Salaam MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM Jiske Aage Khinchi Gardane Jhuk Gayi Us Khuda Dad Shoukat Pe Laakho(n) Salaam Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakho(n) Salaam Girde Mah Daste Anjum Me Rakhsha(n) Hilaal Badr Ki Daf’e Zulmat Pe Laakho(n) Salaam Shore Takbeer Se Thar-Tharati Zamee(n) Zumbishe Joushe Nusrat Pe Laakho(n) Salaam Na’araha E Dilera(n) Se Ban Gunjte Gurrashe Kose Jur-at Pe Laakho(n) Salaam Woh Chaka Chaak Khanjar Se Aati Sadaa Mustafa Teri Soulat Pe Laakho(n) Salaam Unke Aage Wo Hamza Ki Jaa(n)-Baaziya(n) Shere Gurrane Satvat Pe Laakho(n) Salaam Al Gharaz Unke Har Mu Pe Laakho(n) Durood Unki Har Khu Wa Khaslat Pe Laakho(n) Salaam Unke Har Naam O Nisbat Pe Naami Durood Unke Har Waqt O Haalat Pe Laakho(n) Salaam Unke Maula Ki Un Par Karoro(n) Durood Unke As-habo Itrat Pe Laakho(n) Salaam Paar-Haye Suhuf Ghuncha E Qudus Ahle Bait E Nubuvvat Pe Laakho(n) Salaam Aab E Tathir Se Jis Me Paude Jame Uss Riyaze Najaabat Pe Laakho(n) Salaam Khuun E Khairur Rusul Se Hai Jinka Khameer Unki Be Lous Tinat Pe Laakho(n) Salaam Uss Batul E Jigar Para E Mustafa Haj-La Aara E Iffat Pe Laakho(n) Salaam Jiska Aanchal Na Dekha Maho Meher Ne Uss Rida E Nazahat Pe Laakho(n) Salaam Sayyeda Zahira Tayyeba Tahira Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakho(n) Salaam Hasne Mujtaba Sayyedul Askhiya(n) Raakib E Doshe Izzat Pe Laakho(n) Salaam Ouj E Mehre Huda Mouje Bahre Nida Ruh E Rouhe Sakhavat Pe Laakho(n) Salaam Shahad Khware Lu-aab E Zabaan E Nabi Chaashni Geer Ismat Pe Laakho(n) Salaam Uss Shaheed E Balaa Shahe Ghulghu Kabaa Bekase Dashte Gurbat Pe Laakho(n) Salaam Durre Durje Najaf Mehre Burje Sharaf Range Ru E Shahadat Pe Laakho(n) Salaam Ahle Islaam Ki Maadarane Shafeeq Baanuvane Tahaarat Pe Laakho(n) Salaam Jalw(a)-Giyyane Baitush-Sharaf Par Durood Pard Giyyane Iffat Pe Laakho(n) Salaam Siyyema Pahli Maa Kah-Fe Amno Amaa(n) Haq Gujare Rifaqat Pe Laakho(n) Salaam Arsh Se Jispe Tasleem Naazil Hui Us Saraa E Salamat Pe Laakho(n) Salaam Manzillum Min Kasab La Nasab La Sakhab Aise Koshak Ki Zeenat Pe Laakho(n) Salaam Binte Siddeeq Araam E Jaan E Nabi Us Hareem E Bara-at Pe Laakho(n) Salaam MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAKHON SALAAM Yaani Hai Sura E Noor Jinki Gawah Unki PurNoor Surat Pe Laakho(n) Salaam Jinme Ruhul Qudus Be-Ijazat Na Jaaye Un Suradiq Ki Ismat Pe Laakho(n) Salaam Sahm’e Taabaane Kaashaana E Ijtehaad Mufti E Chaar Millat Pe Laakho(n) Salaam Jaa(n)-Nisaran E Badro Uhad Par Durood Haq Guzaaran E Bai’at Pe Laakho(n) Salaam Wo Daso Jinko Jannat Ka Muzda Mila Uss Mubarak Jama’at Pe Laakho(n) Salaam Khaas Uss Saabik E Saire Kurbe Khuda Ouhad E Kamiliyat Pe Laakho(n) Salaam Sai-E Mustafa Mai-E Istafa Izzo Naaze Khilafat Pe Laakho(n) Salaam Asdaqus-Sadeqi Sayyedul Muttaqi Chashmo Goshe Vejarat Pe Laakho(n) Salaam Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakho(n) Salaam Fareeqe Haqqo Baatil Imamul Huda Taighe Maslule Shiddat Pe Laakho(n) Salaam Tarjumaan E Nabi Ham-Zabaan E Nabi Jaan E Shaan E Adaalat Pe Laakho(n) Salaam Jaahid E Masjid E Ahmadi Par Durood Ddoulat E Jaishe Usrat Pe Laakho(n) Salaam Durre Mansoor Quraa(n) Ki Silke Bahee Zouje Do Noor E Iffat Pe Laakho(n) Salaam Yaani Usmaan Saahab Kamees E Huda Hulla Pushe Shahadat Pe Laakho(n) Salaam Murtaza Shere Haq Ashja-Ul Ashja-e Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakho(n) Salaam Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle Khuda Baab E Fasle Wilayat Pe Laakho(n) Salaam Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakho(n) Salaam Shere Shamsheer-J(a)n Shahe Khaibar-Shikan Parvat E Dost Qudrat Pe Laakho(n) Salaam Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O Khurooj Haami E Deen O Sunnat Pe Laakho(n) Salaam Momeni Peshe Fat-ho Pase Fat-h Sab Ahle Khairo Adaalat Pe Laakho(n) Salaam Jis Musalmaa(n) Ne Dekha Unhe Ik Nazar Uss Nazar Ki Basaarat Pe Laakho(n) Salaam Jinke Dushman Pe Laanat Hai ALLAH Ki Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakho(n) Salaam Baaqi E Saakiyaan E Sharaab E Tahur Zain E Ahle Ibadat Pe Laakho(n) Salaam Aur Jitne Hai Shehzade Uss Shah Ke Un Sab Ahle Makaanat Pe Laakho(n) Salaam Unki Baala Sharafat Pe Aala Durood Unki Waala Siyadat Pe Laakho(n) Salaam Shafa’e Maaliki Ahmad Imam E Haneef Chaar Baagh E Imamat Pe Laakho(n) Salaam Kaamilan E Tareeqat Pe Kaamil Durood Haamilan E Shariat Pe Laakho(n) Salaam Ghouse Aazam Ima Muttuka Wannuka Jalwa E Shaan E Qudrat Pe Laakho(n) Salaam Kutbe Abdaalo Irshaad O Rushdurshaad Muh-yi-e Deen O Millat Pe Laakho(n) Salaam Mard E Khaile Tareeqar Pe Behad Durood Farde Ahle Haqeeqat Pe Laakho(n) Salaam Jiski Mimbar Bani Gardan E Awliyah Uss Qadam Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam Shah E Barkaato Barkaate Peshiniya(n) Nou Bahar E Tareeqat Pe Laakho(n) Salaam Sayyid Aale Muhammad Imamur Rashheed Ghul E Rouze Riyazat Pe Laakho(n) Salaam Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool Zeenat E Qaadriyat Pe Laakho(n) Salaam Naam O Kaam O Tano Jaan O Haal O Makaal Sabme Achhe Ki Surat Pe Laakho(n) Salaam Noor-Jaa(n) Itre-Majmu’a Aale Rasool Mere Aaqa E Ne’amat Pe Laakho(n) Salaam Zaibe Sajjada Sajjade Noori Nihaad Ahmad E Noor Teenat Pe Laakho(n) Salaam Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakho(n) Salaam Tere Un Dosto Ke Tufaile Khuda Banda-E Nange Khilqat Pe Laakho(n) Salaam Mere Ustaad Maa-Baap Bhai Behen Ahle Wuldo Ashirat Pe Laakho(n) Salaam Ek Mera Hi Rehmat Me D’awa Nahi Shah Ki Saari Ummat Pe Laakho(n) Salaam Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur Bheje Sab Unki Shouqat Pe Laakho(n) Salaam Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam

About Lyrics

Read online or download the huge collection of Lyrics. You can get lyrics of Naats, Qawwalies, Nohay, Qaseeda and more!