Noha Title | Mere Humsafar |
---|---|
Noha Artist | Ameer Hasan Aamir |
Click Here To Download Mere Humsafar Lyrics |
TADAP KE BOLI MERE HAMSAFAR WASI E RASOOL
HUWA NA AAPKI TARAHA KOI BHI YOUN MAQTOOL
YEH JAAN LEVA MUSAIBAT KIYA ISSE BHI QABOOL
BAS AB YEH ZABT E SITAM KHATM KIJIYE MOULA
HAME BHI APNA ZARA WAQT DIJIYE MOULA
AYE MERE HAMSAFAR MERE HYDER MAI AAYI HOON
LENE TUMHE AYE SAQI E KAUSAR MAI AAYI HOON
AB SANG CHALO KE ZULMO SITAM SEH CHUKE BOHAT
HUM BHI BAGHAIR APKE AB REH CHUKE BOHAT
IS WASTE BHI AYE MERE SHOHAR MAI AAYI HOON
KAISA SITAM HAI KAISA MUSIBAT KA HAI SAMA’N
GHASH ME HAIN AAP AUR HAI SAR SE LAHOO RAWA’N
MARHAM LAGANE ZAKHM KE UPAR MAI AAYI HOON
BACHON KA KITNA DHYAN RAKHA MERE BAAD ME
EHSAAS E MAA NA HONE DIYA MERE BAAD ME
KARNE TUMHARA SHUKRIYA DILBAR MAI AAYI HOON
GEHRA HAI ZAKHM TEGH
AMAMA HAI KHOON ME
DOOBA HUWA JO APKA CHEHRA HAI KHOON ME
KARNE KO SAAF WOH RUKH E ANWAR MAI AAYI HOON
SAB SAUP KE HASAN KO MERE SATH ME CHALO
AB ODHLO KAFAN KO MERE SATH ME CHALO
FARIYAD YEH ZABAN PAR LEKAR MAI AAYI HOON
GHABRAO MAT KE SHABBAR O SHABBIR BHI TO HAIN
ABBAS BHI HAI ZAINAB E DILGEER BHI TO HAIN
YEH SOCH KAR WASI E PAYAMBAR MAI AAYI HOON
FIRDAUS ME BHI HOKE YEH DUKHIYA UDAAS HAI
HAI
APKE BAGHAIR YEH ZEHRA UDAAS HAI
BEHER E SUKOON AYE MERE HAMSAR MAI AAYI HOON
JIS DAM GAYI HAYAT KO DEKE REHAYI MAI
LEKE GAYI THI AAPKE GHAR SE VIDAYI MAI
PHIR EK BAAR APKE GHAR PAR MAI AAYI HOON
AAYE AAMIR O KUMAIL WOH MANZAR AJEEB THA
GODIH ME SAR KO RAKKHE YEH KEHTI THI FATIMA
BABA KE PAAS ASHK BAHA KAR MAI AAYI HOON
Mere Humsafar Lyrics
Mere Humsafar is one of the best Noha by Ameer Hasan Aamir.
You can listen this Noha online or download in MP3 from this site.
You can also read or download the lyrics of Mere Humsafar
Read or download lyrics of Mere Humsafar in roman urdu, urdu and english.
Disclaimer
This Audio is strictly meant for Promotional purposes. We do not wish to make any commercial use of this audio and intended to showcase the creativity of the artist involved. The Original Copyright(s) is (are) solely owned by the companies/Original Artist(s)/Record-Label(s). All the contents are strictly done for promotional purposes.
As per the 3rd section of fair use guidelines, borrowing small bits of material from an original work is more likely to be considered fair use. Copyright disclaimer under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is made for fair use.