Are you looking for Mohammed Ke Shaher Mein MP3 Download? Presenting you the Mohammed Ke Shaher Mein Qawwali By Aslam Sabri. Play online or download Kyu Aake Ro Raha Hai Mohammad Ke Shahar Mein by Aslam Sabri for free.

To Download Mohammed Ke Shaher Mein Qawwali at 320kbps click on the download button.

Mohammad Ke Shaher Mein Lyrics

Jab mera jazb-e-junoon auj ka zeena hoga x2
Phelnay aur simatnay ka kareena hoga
Ya Madinay mein, samajaye gee sari duniya
Ya zamanay mein Madina hee Madina ho ga

Ya Nabi aapke jalwon mein woh ranaayi hai x2
Dekhnay par bhi meri aankh tamanayi hai

Haq-taala bhi kareem, aur Mohammed bhi kareem
Do kareemon mein gunahgaar ki bann aayi hai

Mohammed ke shaher mein, Mohammed kay shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed kay shaher mein
Mohammed kay shaher mein

Kyon aa kay roo raha hai, Mohammed ke shaher mein x2
Har dard ki dawa hai, Mohammed ke shaher mein x2

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Dukh dard-o-alam gham katt-tay hain, x2
Hasnain ke sadqay batt-tay hain,
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed kay shaher mein

Kuch aisi bheed lagjaati hai shah-e-deen ke rozay par
Hawaa ko raasta mushkil say milta hai
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Ghamon se jab bhi tabiyet malool hoti hai
Toh shaabgaam banaam-e-Rasool hoti hai
Ho jis dua mein Mohammed ka waasta shaamil
Huzoor-e-haq mein yakeenan qubool hoti hai
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Hawwaayen bhi adab kay saath chalti hain,
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein

Haath mein tasbeeh, baghal mein musalla,
Lab pe jaari Allah, Alla
Lab pe jaari Allah, Allah
Kehti hui pohunchi Baitullah
Kehti hui pohunchi Baitullah
Aur pukaari aye mere Allah
Aur pukaari aye mere Allah

Too gada ko jo nawaaze toh shahenshah banay
Aur yateemon ko jo chahe toh payyambar karde
Aye mere Allah…

Mere parde mein wehdat ke siwa kya hai
Jaa jo tujhe lena hai lay
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein

Meray baray mein kuch irshaad kiya jayega x2
Dil-e-nashaad ko phir shaad kiya jayeega
Mein yeh umeed lagaye huwey betha hoon Hazoor
Aik baar aur mujhay yaad kiya jayega
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein

Aao gunahgaaro chalo sarr ke ball chalein x3
Chalo sarr ke ball chalen x6

Wahan sarr jhukatay hein Auleeya x3
Wahan paoon rakhna rawa nahin
Chalo sarr ke ball chalen… x5

Nazaan hai jis pe husn wo husn-e-rasool hai
Ye kehkashaan toh aapke kadmon ki dhool hai
Taiba ke raaste ka toh kaanta bhi phool hai
Aye rehrawaan-e-shaukh chalo sarr ke ball chalen
Chalo sarr ke ball chalen x4

Begaana-e-irfaan ko haqeeqat ki khabar kya
Jo aapse waakif na ho, wo ahl-e-nazar kya
Manzoor-e-nazar kaun hua iski khabar kya
Wo fazl pe ajaye toh phir aib-o-hunar kya
Taamil ko darr-e-yaar ke sajdon se na roko
Qurbaan jahan dil ho, wahan keemat-e-sarr kya
Chalo sarr ke ball chalen x4

Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen
Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen
Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen
Tauba ka darr khula hai
Tauba ka darr khula hai
Tauba ka darr khula hai
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein

Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya

Teri nigaah se jalwe bhi mehr-o-maah banay
Jagaye besar-o-samaan jahan panaah banay
Huzoor hi ki karam mein diye tasalli bhi
Huzoor hi mere gham mein meri panaah bane
Wohi maqaam mohabbat ke jalwa-gaah banay
Jahaan jahaan se wo guzre jahan jahan pohunchay
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein

Sadqa lutaa raha hai, Khuda unke naam ka
Sadqa lutaa raha hai, Khuda unke naam ka
Sadqa lutaa raha hai, Khuda unke naam ka
Sona nikal raha hai
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein

Sab toh jhuke hain khana-e-kaaba ke saamne
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

Hajiyon aao shahenshaah ka roza dekho
Kaaba ko dekh chuke kaabe ka kaaba dekho
Madina wo hai ke Kaaba bhi sajda karta hai
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

Phool gulaab ka aapke chehre jaisa lagta hai
Aur chamakta chaand nabi ka talwa lagta hai
Sab toh jhuke hain khana-e-kaaba ke saamne
Sab toh jhuke hain khana-e-kaaba ke saamne
Sab toh jhuke hain khana-e-kaaba ke saamne
Kaaba jhuka hua hai
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka abidi
Khicha kuch is milaal-i-shaan se naksha Mohammed ka
Ke naqqash-e-azal bhi hogaya shaida Mohammed ka
Koi kya dekhta aks-e-kadd-e-wala Mohammed ka
Saraapa noor tha wo kaamat-e-sebaa Mohammed ka
Kisi waaiz nazar aata na tha sayaa Mohammed ka
Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka abidi
Zinda ye mojeza hai Mohammed ke shaher mein

Aye ‘Raaz’ too toh HIND mein maujood hai magar
Din raath padh raha hai Mohammed ke shaher mein

Poocho usi se kya hai Mohammed ke shaher mein
Ek baar jo gaya hai Mohammed ke shaher mein
Taalib hain unse auliya aur ambiya tamaam
Bakshish karam ataa hai Mohammed ke shaher mein
Sairaab kar rahi hai jo saare jaahan ko
Rahmat ki wo ghata hai Mohammed ke shaher mein
Duniya ke khaak chaanke jo kuch na paa saka
Sab kuch usay mila hai, Mohammed ke shaher mein
Sab kuch usay mila hai, Mohammed ke shaher mein

Tanweer kibriya hai Mohammed ke shaher mein
Jalwon ka silsila hai Mohammed ke shaher mein
Laazim hai ehteraam ke nazron se dekhna
Kya jaane koun kya hai Mohammed ke shaher mein
Har shaks ki zubaan se dauraan-e-guftgoo
Quraan bolta hai Mohammed ke shaher mein
Quraan bolta hai Mohammed ke shaher mein

Baab-e-asar khula hai Mohammed ke shaher mein
Maqbool har dua hai Mohammed ke shaher mein
Dhoka fareb jhoot dagha aur kalaam badd
Koi na jaanta hai Mohammed ka sheher mein
Behre salaam aate hain hardam malayeka
Jaari ye silsila hai, Mohammed ke shaher mein
Dhoonda khuda ko dhoondne waalon ne har jagah
Lekin khuda mila hai, Mohammed ke shaher mein
Lekin khuda mila hai, Mohammed ke shaher mein

Allah Abu Turaab ke sajda ke ehmiyat
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein

Ek roz ibrahim se namrood ye kehne laga
Sab toh kehte hain mujhe, too kyun nahi kehta khuda
Bole ibrahim pehle waada kar is baath ka
Maghrib se suraj ko utha, beshak too phir mera khuda
Ek roz ka hai waqiya, aye mominon sunna zara
Zaanon pe sarr rakh ke ALI ke so rahe thay Mustafa
Waqt-e-asar jaata raha, maghrib ka waqt aane laga
Is fikr mein sher-e-khuda ronay lagay
Ansoo rooh-e-Mohammed par giray
Uththay Mohammed Mustafa, bole Mohammed Mustafa
Rotay ho kyun sher-e-khuda
Ranjh hai tumhe kis baath ka
Bole Ali-e-murtaza, waqt-e-asar jaata raha
Kaise karoon sajda adaa
Bole Mohammed Mustafa, aao idhar sher-e-khuda
Ungli shahadat ki utha, maghrib ki jaanib ko kiya
Maghrib se suraj phir utha, waqt-e-asar phir hogaya
Allah Abu Turaab ke sajda ke ehmiyat
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein

Muhammed Ke Shaher Mein MP3 Download Pagalworld

To download this beautiful Qawwali “Mohammed Ke Shaher Mein” in Mp3 Format please click on the download button.

Mohammed Ke Shaher Mein MP3 Download
Mohammad ke shahar mein qawwali download

About Aslam Sabri

Aslam Sabri MP3 Naats

Listen online or download the huge collection of Latest MP3 Naats in the superb vocals of Aslam Sabri